Wednesday, December 21, 2016

Allahoo Allahoo qari ehsan mohsin

tera hee naam aalam me he koo ba koo
roshnee tere jalwoo ke he chaar soo

phook e koyal me tusaot e bulbul me tu 
bail bootoan me tu ghuncha e gul me tu 
her tere naam kee her jaga rang o boo 

Allahoo….

chandnee dhoop shamso qamar kehkashaan 
hain sabee me teree jalwa areeyan
nakhat e ghuncha o yasmeen o chaman 
sab me maujood hain tere raanaaeeyaan

her rag o pay me tu dil kee dharkan me tu
jalwa gar he musalman k man me tu 
hay her ek cheez ko teree hee justujoo 
Allahoo allahoo….

ye hawa ye khala ye faza ye samaan
her taraf tere hikmat kee pehnaeeyaan
behr o bar sharq o gharb o zameen aasmaan
her jaga he teree zaat jalwa numaa

her zabaan per hain naghmaat tauheed k
her qalb k andar he bas tu hee tu 

Allahoo….

tere he zzat e Allah subhanahoo…
allahoo…

tere pakeezgee mominoan ka wuzoo
bandagee he qayaam o sujood o rukoo
zindagee bhar karoo me ibaadat teri
martay dam tera kalma ho wirday zubaan

aisee tabish ho husn e amal se mere
roz e mehshar me kehta phiroo tu hee tu
Allahooo….

shak nahee he me bebas hoo lachaar hoo
is leai me museebat giriftaar hu
haath pakray mera kon teray siwa
mujh ko teri madad chaheai ae khuda

roz o shab kar raha hu khata per khata
moon se kia kahoo he tujhay sab pata
he gunahoan kee kasrat se rehmat wasee
yanee rehmat ka matlab khuda tu hee tu 
Allahoo…..


tera ehsaan mohsin pe ehsaan he
is gunaah gaar pe ye karam bareeyan
hamd k geet gaata na likhta kabee
tu ne bakhshee hain lekin tawanaeeyaan

aur itna karam ae kuda keejeeai
zikr se bee hamain muhtaram keejeai
mere lab per rahay ya khuda tu hee tu 
Allahooo…….


La ilaha Illahla Qari ihsan mohsin qasmi

dil ko gar chamkana he 
gar eeman banana he 
millat ko batlana he 
nagree nagreee gaana 

la ilaha illaho la ilaha illah 

galeeyoan me chobaroan main
koochoan main bazaroan main
shamo sahar or raat or din 
her dam yahee yehee kalima gin 
la ilaha illah o laillah 

gul or gulshan me 
fan karoan k fan main 
her dil kee dharkan me he or
her momin mk man me he

la ilaha…..

wehdat k maikhanoan main
rindoan me paimanoan me
maula ke deewanoan me
ab dhun he yehee mastanoan me

la ilaha illah illah ….. 

khalwat main mehfil me bee
rahaat or mushkil me bhee
rehro kee manzil me bhee 
her lab per her dil me bhee 

la ilaha ……

balaee main pastee main
weeranay me bastee main
aag laga kar hastee main
tu kehta phir ye mastee main 

la ilaha illallah …


parwazoan tayyaroan me
khurrd bala sayyaroan me
suuraj chaand sitaroan me
sab qudrat k nazaroan me

la ilaha….

israel kee baat main bhee
qar moosa siraat me bhee
her din me her raat me bhee
saree kaenaat me bhee

la ilaha….

majlis k anwaar me he
murshid kee guftaar me he
saalik k afkaar me he
mohsin k ashaar me he 

la ilaha illallah …..






Wednesday, December 7, 2016

ye lagan he dil kee ye arzoo

ye lagan he dil kee ye arzoo
tera naam her soo buland ho
tera zikr aam ho koo ba koo
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo

tu raheem he tu kareem he
teree zaat sab se azeem he
tere shaan jalla jalalohoo
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo..

ye zameen or ye asmaan
tere zaat hee ka hain aeena
nazar in me aata he tu hee tu
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo..

mera dil sarapa he gandagee
na mjhe saleeqa e bandagee
ma e ishq se tu kara wuzu
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo....

yehee soch ho yehee fikr ho
mere lab pe tera hee zikr ho
shab o roz ho yehee justujoo
tera naam her soo buland ho







mar k apnee he adaoon pe amar ho jaoo

mar k apnee hee adaoon pe amar ho jaoon 
un kee dehleez k qaabil me agar ho jaoon

un kee rahoan pe mujhe itna chalana ya rab
k safar kartay hue gard e safar ho jaoon 

zindagee ne to samandar me mjhe phenk dia 
apnee muthee me wo le lain to guhar ho jaoon

mera mehboob he wo raah bar e kon o makaan
jis kee aahat bee me sun loo to khizar ho jaoon

is qadar ishq e nabi ho k mita doon khud ko
is qadar khauf e khuda k nidar ho jaoon

zarb doon khud ko jo un se to lagoon laataadaad
wo jo mujh main se nikal jaen sifar hojaoon

aarzoo ab to muzaffar jo koi he to ye he
jitna baqee hoo madeenay me basar ho jaoon 




Tuesday, December 6, 2016

Owaiseeyo me beth ja bilaleeyoan me beth ja

Owaiseeyo me beth ja bilaeeyo me beth ja
talab hekuch to be talab sawaleeyoan me beth ja

ye maarifat ke rastay hain ehl e dil k wastay
junaideyoan se jaa k mil ghazaleeyoan me beth jaa

sahabeeyoo se phool tabaeen se charaagh le
huzoor chaheain to in mawaleeyoan me beth ja 


durood parrh namaaz parh ibaadatoan k raaz parrh
safain to sab bichee hain ishq waleeyoan me beth ja 

her ek saans per jo un ko dekhnay ka shauq he
to aankh ban kar un k dar kee jaleeyoan me beth jaa

agar hain khalwatain azeez to hujoom me nikal 
agar sukoon chaheai dhamaleeyoan me beth jaa

jo chahta he gulsitaan e mustafa kee nokree
to boo e mustufa pehan k maaleeyoan me beth ja

muzaffar un tak rasaee itnee sehal to nahee
twajja chaheai to yarghamaleeyoan me beth ja 



Thursday, November 17, 2016

dar e nabi per parra rahoo ga lyrics

dar e nabi per parra rahoo ga 
paray hee rehnay se kaam hoga
kabee to qismat khulay gee meree
kabee to mera salaam hoga

khilaf e mashooq kuch huaa
na koi aashiq se kaam hoga
khuda be hoga udher hee ae dil
jidher wo aalee maqaam hogaa

keai hee jaoon ga arz e matlab 
milay jab tak na dil ka matlab
na shaam e matlab ke subah ho gee
na ye fasaana tamaam hoga

jo dil se he maael e payambar 
ye us kee pehchan he muqaddar
k her dam us be nawa ka lab per
durood hogaa salaam hoga

isee tawaqa pe jee raha hu
yahee tamanna jilaa rahee he
nigah e lutf o karam na hogee
to mujh ko jeena haraam hoga 




Friday, November 11, 2016

Qalb ko jis ke roeeyat ke he arzoo

Qalb Ko Uski Rooyat Ki Hain Aarzu
Jiska Jalwa Hain Aalam Me Har Chaar Su
Balki Khud NAfs Me Hain Wo Subhanuhu
Asrh Par Hai Magar Arsh Ko Justuju

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Arsh Farsh Wa Zamaan Wa Jehat Ay Khuda
Jis Taraf Dekhta Hu Hai Jalwa Tera
Zarre Zarre Ki Aankhon Me Tu Hi Ziya
Qatre Qatre Ki Tu Hi To Hain Aabaru

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Tu Kisi Jaa Nahi Aur Har Jaa Hai Tu
Tu Munazza Makaa Se Mubarrah Jasu
Ilm Wa Qudrat Se Har Ja Hai Tu Ku-ba-ku
Tere Jalwe Hai Har Har Jagah Ay Afu

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Tayerane Janaa Me Teri Guftugu
Geet Tere Hi Gaate Hain Wo Khush Gulu
Koi Kehta Hai Haq Koi Kehta Hai Hu
Aur Sab Kehte Hain La Sharikala Hu

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Raham Farma Khudaya Haram Paak Ho
Tune Taqdees Bakshi Hai Jis Khaaq Ko
Daf'a FarmaWahaa Par Hai Be Baak Ju
Aur Gira Bijliyan Kahar Ki Bar Adu

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Khwabe Noori Me Aaye Jo Noore Khuda
Bukkae Noor Ho Apna Zulmat Qada
Jagmaga Uththe Dil Chehra Ho Pur  Ziya
Nooriyo Ki Tarah Shagl Ho Zikre Hu

ALLAHU ALLAHU ALAHU ALLAHU

Thursday, September 15, 2016

ae sabz gumbad walay manzoor dua karna

ae sabz gumbad walay manzoor dua karna
jab waqt e naza aae deedarr ataa karna

ae noor e khuda aaa kar aankhoan me sama jana
yaa dar pe bulaa lena ya khaab me aajana
ae parda nasheen dil kay parday main raha karna
jab waqt e nazaa ae deedar ataa karna

main qabr andheree main ghabraoo ga jab tanhaa
imdaad mere karnay aajana rasool Allah
roshan mere turbat ko ae noor e khuda karna
jab waqt e naza ae deedar ataa karna

mujrim hoo jahaan bhar mehshar me bharam rakhna
ruswa e zamana hoo daman me chupa lena
maqbool ye arz meree lillah zara karna
jab waqt naza aae deedaar ataa karna

chehray se zia paaee in chaand sitaroan ne
us dar se shifa paee dukh dard k maaroan ne
aata he unhain sabir her dukh ke dawaa karna
jab waqt naza aae deedaar ataa karna




ishq dil ko bhaar deta he

ishq dil ko bahaar deta he
jazba e jaan nisaar deta he

ishq tujh par ho baarish e rehmat
gher fanee bahaar deta he

ishq majboor be zubaan ho kar
deeda e ashk baar deta he

taa at e mukhtasar pe mera kareem
ajr kia be shumaar deta he

sheikh e kaamil k faiz dekho
rind ko bee sanwaar deta he

ehl e dil k karam ka kia kehna
dard e dil baar baar deta he

kia karamat he noor taqwaa kee
rooh ko ik qaraar deta he

husn fanee se dhoka mat khana
aik fanee khumaar deta he

phool bas apnee bewafaee se
andaleeboan ko khaar deta he

raah e taqa main ghum jo he akhtar
zindagee purbahaar deta he



Monday, September 12, 2016

Allah hoo banday

Allah Ho Allah Ho Allah Ho
Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Peechay peechay mouath hai teri agay agay tu.

Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Allah hoo baki min kulay faani.

Allah hoo baki min kulay faani.

Na kuch tera na kuch mera o ghafil insane,o ghafil insane.

Sub kuch janay jaan bhoosh kar banay ha kqu anjaan, banay ha kqu anjaan.

Dara aur Sikander jasay shaaenchali shaan.

Laako min miti may sogaye baray baray sultan.

Teri kya aukaat hai banday kuch bi nahi tu.

Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Allah hoo baki min kulay faani.

Allah hoo baki min kulay faani.

Tera mera jeevan jaasay chaal tay phir saaye, chaal tay phir saaye(Saa A).

Jo Jo baray ti jaaye oh maria jeevan ghaat ta jaaye, jeevan ghaat ta jaaye. (Jaa A)

Mouath kari hai saar pay tera jaanaye(Jaanay A) kab ajaaye
(Ajaa A).

Ek saas ka panchi hai tu khun tuch ka sumjaaye(Sum Jaa A).

Rhaay jaaye(Jaa A)ga pheenra kali orr jaaye(Jaa A)gi rooooo.

Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Allah hoo baki min kulay faani.

Allah hoo baki min kulay faani.

Tanha kabar main ho ga tera kohi na ho ga ni, kohi na ho ga ni.

Allah hi Allah hi bhol salamat jeevan baazi jeet, Jeevan baazi jeet.

Dhal ta suraj roos sunay tu chay fala geet.

Neend say ahkain khool tamana kasi hai yeh preet.

Allah tera jaag ra ha aur soo tha hai tu.

Allah hoo Allah hoo banday her dhum Allah hoo.

Allah hoo baki min kulay faani.
Background [ALLAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAH])


Allah hoo baki min kulay faani.
Background [ALLAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAH])

Min kulay faani, min kulay faani.

Allahoo Allahoo Allahoo

Allah ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Qalb Ko Us Ki Royet ki Hey Arzoo
Jis ka Jalwa Hey Alam Hey Har Char Soo

Balky Khud Nafs Mey Hey Wo Subhana Ho 
Arsh Par Hey Magar Arsh Par Hey Magar Arsh Ko Justajo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Arsh O Farsh O Zaman O Dehaq Aey Khuda 
Jis Taraf Dekhta Hoon Hey Jalwa Tera 
Zary Zary Ki Ankhon Mey Tu He Ziya 
Qatry Qatry Ki Tu He Tu Hey Abroo

Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho Allah Ho

Tu Kise jaan ki Aur Harja Hey Tu 
Tu Munaza Muqam Sey Mubala Rasool

Ilmo Qudrat Sey Har Jaah He Tu Ku Ba Ku 
Tery Jalway Hein Har Har Jaga Aey Haku

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Naghma San Jany Gulshan Mey Charcha Tera
Jab Chay Zikry Haq Key Hein Subho Masan 

Apni Apni Chahat Apni Apni Sada
Sab Ka Matlab Hey Wahid Key Wahid Hey Tu 

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Ta Hera Mey Jina Mey Teri Guftagu 
Geet Tery He Gaty Hein Wo Khus Gloo

Koi Kehta Hey Haq Koi Kehta Hey Hu 
Aur Sab Kehty Hein la Sharkala Hu 

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

Khawab e Noori Key Aay Jo Noor e Khuda
?? e Noor Hoo Apna Zulm O Kada

jag Maga Uthy Dil Chera Ho Purziya
Noorion Ki Tarhan Shabn Ho Zikar Hu 

Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

ae ishq e nabi mere dil me bee sama jaana

Ae Ishq-E-Nabi Mery Dil Mey Bhi Sama Jana
Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana

Jo Rang Key ?? Par Rome Pey Charhaya Tha
Us Rang Ki Kuch Rangat Mujh Pay Bhi Charha Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana

Qudrat Ki Nigahein Bhe Jis Chehry Ko Taktee Thein
Us Chehra E Anwar Ka Deedar Kara Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana

Jis Khwab Mey Ho Jay Deedar E Nabi Hasil
Aey Ishq Kabhi Mujh Ko Neend Easi Sula Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana bana Jana

Deedar E Mohammad Ki Hasrat To Rahey Baki
Juz Is Key Har Eik Hasrat Is Dil Sey Mita Jana 

Dunia Sey Niaz Ho Jab Un Ko Baki Taraf Jana
Dagh e Ghame Ahamad Sey Seny Ko Saja Jana

Mujh Ko Bhe Mohammad Ka Deewana Bana Jana
Aey Ishq E Nabi Mery Dil Mey Bhi Sama Jana

ab meri nigahoan me jachta nahee koi


Ab Meri Nigahon Main Jachta Nahi Koi
Ab Mere Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi
Ab meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi

Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi

Tum Sa To Haseen Ankh Ney Dekha Nahi koi
Ye Shan E Latafat Hey Key Saya Nahi Koi

Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi

Aey Zarfe Nazar Deikh Magar Deikh Adab Sey
Sarkar ka Jalwa Hey Tamasha Nahi Koi

Ab meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi

Eizaz Ye Hasil He Hey To Hasil Hey Zameen Ko
Aflaq Pay To Gumbad E Khazra Nahi Koi

Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi

Sarkar Ki Rehmat Ney Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hey Key Khalid Sa Nikama Nahi Koi

Ab Meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi
Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi

Thursday, May 26, 2016

sab ko maray he be teer

sab ko maray he be teer 
mera khwaja mera peer

kesee zaalim he taqree
kesi zaahir he tahreer

ye he naala e shab geer
ye he aahoan ke taseer

sab ko maray he be teeer.
…..

laya seenay main wo dil
dil he dard ka haamil 

dard e dil he dard e dil
is ko mat keh aab o gil 

tu bhee ja k in se mil
dekho kesa he bismil

sab ko maray he be teer
mera khwaja mera peer. 

us ka ishq motabar
us ke aahoan main asar

bijlee girtee he dil per
jab wo dalay he nazar

ye he barq ya sharar
jo he baat pur asar

sab ko maray hay be teer….
mera hazrat mera peer

sab ko khaliq se aagah
us ne kar dia nagaah

karta he wo aah aah 
mera murshid mera shaah 

he sarapa ya Allah
Chalt ephirtee khanqaah

sab ko maray he be teer
mera murshid mera peer

kese sheereen he guftaar
kesi mast he raftaar

sara sheahr he beemaar
is k dad ka he yar

mera murshid e abrar
he wo haamil e asraar

mera murshid he mazhar
he ye haamil e asraar

sab ko maray he be teer….
mera murshid mera peer

jaam o meena o suboo
us ka meekada e hoo

her dam haq kee justuju
joo ba joo koo ba koo

dekho her taraf her soo
us ka haq ua ka hoo

sab ko maray he be teer
mera murshid mera peer

us ka jaam he labraiz
us ka sheahr he tabraiz

mera saqee ya barkhez
me maaarefat bar raiz

mera dard ba angaiz
mera sham ud din tabrez

sab ko maray he be teer
mera murshid mera peer. 


tha jo khaar he gul raiz
mulla zahid hain ma raiz

zameen takht shar angez
tere suhbat se zaghez

dila de jaam e maa e taiz
roomee aaya he tabraiz

sab ko mare…..

tujh se meree he faryaad
mere dil ko kar de shaad

tere bin dil e nashaad
kesay ho ilaha abaad

aaja mere ae muraad
dil ko kar murad abaad

sab ko maray he …

paish e sheikh baa kamaal 
kar do nafs ko pamaal

chroo apna qeel o qaal
bano ab mard e saahib haal

mubarak ae zabaan e haal 
tu he he jadoo  e ………..

sab ko marray …..

tere rehmat ho shaamil 
fazl apna kar naazil

mujh ko taqwa de kaamil 
tere mil jae manzil  

tere dard kaa haamil

akhtar maangta he dil 

Tujhe kia sunaoon ae dil ruba



tujhe kia sunaoo ae dilruba
tere samnay mera haal he

tere ik nigaah kee baat he
mere zindagee ka sawaal he

tere azmatoan se hu be khabar
ye mere nazar ka qusoor he

tere raah guzar pe qadam qadam
kahee arsh kahee toor he

ye jabeen pe daagh jo parr gaya 
mjhe log kehtay hain roo siyaah

tere aastaan kee khataa nahee
mere bandagee ka qusoor he


na to mera koi kamaal 
na he dakhl is me shuoor ka

mkjhe rakhtay hain wo nigah main 

ye karam he mere huzoor ka

Thursday, May 19, 2016

Sunay kon qissa e dard e dil

sunay kon qisssa e dard e dil
mera gham gusaar chala gaya

jisay aashnaon ka pass tha
wo wafa shiaar chala gaya

wohee bazm he wohee dhoom he
wohee aashiqoan ka hujoom he

he kamee to bas mere sheikh/ peer kee
jo kalaam ko chala gaya

wo sukhan shanaas wo door been
wo gadaa nawaz wo maah jabeen

wo haseen wo behr e uloom e deen
mera taajdaar chala gayaa

jiisay me sunata tha dard e dil
wo jo poochta tha gham e daroon

wo gadaa nawazx bicharr gaya 
wo ataa shiaar chalaa  gaya

sunay kon qissa e dard e dil..


bahay kyu naseer na na ashk e gham
rahay kyu na lab pe mere fughaan

mjhe be karaar wo chorr kar
sar e raah guzaar chala gaya





Thursday, May 12, 2016

Her dam karoo ga Allah o Allah



Allah allah Allah Allah  (8)

Allah hu Allah

her dam karo ga ae mere maalik
allah o allah 

jab saans loo me ho jae jaree allahoo allah

banaoon ga apne nafs e sarkash 
ko ae ilahee ghulaam tera

me chorr kar karobaar saray 
karoon ga her waqt kaam tera

kia karoon ga bas ab ilahee 
zikar hee subh aur shaam tera

jamaoon ga dil me yaad tere
ratoon ka din raat naam tera

her dam karoon ga ae mere malik
allaho allah
jab saans loo main hojae jaree 
allaho 

me ae khuda dam bharoon ga tera
badan me jab tak k jaan rahay gee

parhoon ga tab tak me tera kalma
dahan me jab tak zubaan rahay gee

koi rahay ga na zikr lab per
tere he bas dastaan rahay gee

na shikwa e dostaan rahay ga
na gheebat e dushmanaan rahay gee

her dam karoo ga….
jab sans loo main,,,,.


raha me din raat ghaflatoan main
abas yoonhee zindagee guzaree

kia na kuch kaam aakhirat ka
katee gunahoan me umr saree

bht dinoan me ne sarkashee ke
magar he ab sakht sharmsaree

me sar jhukaata hoo mere maula
me tauba karta hoo mere waalee

her dam k….
jab saans loo,….

me deen loo ga me deen loo ga
na loon ga me zeenhaar dunya

dikha k naqsh o nigaar apnay
dubaae mujh ko hazaar dunya

isay main khoob azmaa chuka hoo
bohat he be aitbaar dunyaa

lagaoon ga is se dil na har giz
ye 4 din kee he yaar dunya

her dam…
jab saans….

butaan e dilbar to saikroan hain
magar koi ba wafa nahee he

warood or laaeq e muhabbat 
faqat he tu doosra nahee he

koi tere zikr k barabar
mazay kee shay ae khuda nahee he

mazay kee cheezain go hain hazaroan
kisi me aisa maza nahee he

her dam ..

jab saans…

Thursday, May 5, 2016

sallah o alaeh e wasallam

sarwardee sarkar e do alarm
sallallaho alae wasaalm

saaqee e kosar shafee e aazam 
sallallaho….

jin se humain quran mila he
deen mila eeman mila he
uqba ka eeqaan mila he
jannat ka samaan mila he (2) 

sab se mukarram sab se muazzam 
sallaho…. (3)

jis ne payam e iqra sunaya
aur wahdat ka dars parrhaya
banday ko khaliq se milaya
khaaliq ne kia kia na sikhaya (2)

allam al insaana maa lam yaalam 
sallaho alaehe.  (3)

wo jo shehay lola kalama he
jis k leai koonain saja  he
arsh pe jo khaliq se mila he
jis ka sna khaawwn arsha olaa he

dawar e haq mahboob e do aalam
sallaho alaehay …..

amana bibi k wo jae
daee haleema doodh pilae
rohay qudoos khud jhoola jhulae
abr e rehmat meen barsaee

rim jhim rim jhim cham cham cham cham
sallallaho alaehe ….

muzzamil mudassir o taaha
rab ne kis kis naam se chaaha 
jis ke dar ke gadaa hain shaaha
 hoor o malak ne jis ko saraaha 

wo hee hain mohsin rehmat e aalam
sallaho alaehe wasallam



Thursday, April 28, 2016

اے میرے معبود برحق

ae mere maabood barhaq ae mere parwardigaar
tere azmat ke tasadduq teree rehmat k nisaar
اے میرے معبود برحق اے میرے میرے پروردگار
تیری عظمت کے تصدق تیری رحمت کے نثار 
تو ہی ہے دانا و بینا کارساز روزگار 
میری حالت جو بھی ہے وہ سب ہے تجھ پر آشکار


رحم تم برھائے زارن از طفیل مصطفی 
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما 

tu hee he daana wo beena karsaaz o rozgaar
meree haalat jo bhee tujh per pe he wo aashkarr

تو اگر چاہے تو ذرہ کو بنا دے آفتاب
تو جو چاہے تو سمندر کو سما دے درحباب 
تو تو ہے محبوب تیرا ہر کرشمہ بے حجاب 
انتہا تیری عنایت کی نہ بخشش کا حساب 

رحم تن برہائے زارن ازطفیل مصطفی
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما 

tu agar chahay to zarray ko bana de aaftaab
tu jo chahay to samandar ko sama de dar habaab

tu to he mehboob tera her karishma be hijaab
inteha teree inayat k na bakhshish ka hisaab

تیری ہیبت سے لرزتے ہیں زمین و آسماں
تیری عظمت پر ہیں ساجد کل ملائک انس و جاں
ذرہ ذرہ سے تیری تخلیق ہوتی ہے عیاں
اے سمیع اے علیم اے رحیم و مہرباں

رحم تن برہائے زارن ازطفیل مصطفی
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما 

teree haibat se laraztay hain zameen o asmaan
tere azmat per he saajid kul malaek is o jaan 

zarra zarra se teree takhleeq hote ehe ayaan
ae samee on ae aleemum ae reheemun mehrban

تیرے اک ادنی' اشارے سے بنی کل کائنات
کن کہا تو نے مکمل ہو گئی ہر ایک بات
تو ہے لاثانی تو ہے بے مثل تیری کل صفات
برتر و بالا و اعلی ہے الہی تیری ذات


رحم تن برہان زارم ازطفیل مصطفی
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما 

tere ik adnaa isharay se banee kul kaenaat
kun kaha tu ne mukammal ho gaee her ik baat

tu he lasanee tu  he be misl tere kul siffaat
bartar o baal a o aala he ilahee teree zaat

تیرے جلووں سے ہے روشن انجم و شمس و قمر 
ہے تجلی سے تیری بزم دو عالم جلوہ گر
مالک کون ومکاں اے خالق جن و بشر 
ابتدا جانے نہ کوئی انتہا تیری مگر 


رحم تن برہان زارم ازطفیل مصطفی
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما

tere jalwo se he roshan anjam o sham s o qamar
he tajalee se teree bazm e do aalam jalwa gar
maalike kon o makaan makan ae khaliq e jinno bashar
ibtida janay na tere inteha koi magar

دست قدرت میں ہے تیرے سارے عالم کا نظام 
ہے شہنشاہی تجھی کو زیب سب تیرے غلام 
آسرے تکتے ہیں تیرا ہی جو بگڑے کوئی کام 
بے کس و ناشاد ہوں مجھ کو بھی کر دے شادگام


رحم تن برہان زارم ازطفیل مصطفی
اے قدیر کل شیء حاکم ارض و سما

dast e qudrat me he tere saray aalam ka nizaam 
he shehanshahee tujhee ko zaib sab tere ghulaam 
aasra taktay hain tera hee jo bigray koi kaam
bekas o nashaad hoo mjh ko bhee kar de shaad gaam

تیرے ممکن کو نہ کوئی غیر ممکن کر سکے
غیر ممکن جس کو کر دے کون اسے ممکن کرے
عاجز و محکوم ہیں دونوں جہاں آگے تیرے
ملتجی ہے گل بھی اے غفار بخشش کے کئے

tere mumkin na koi gher mumkin kar sakay
gher mumkin jis ko kar de kon usay mumkin kare

aajiz o mehkoom he dono jahan agay tere
multajee he gul bhee ae ghaffar bakhshish ke leai


Ae mere mabood e barhaq

ae mere maabood barhaq ae mere parwardigaar
tere azmat ke tasadduq teree rehmat k nisaar

tu hee he daana wo beena karsaaz o rozgaar
meree haalat jo bhee tujh per pe he wo aashkarr


tu agar chahay to zarray ko bana de aaftaab
tu jo chahay to samandar ko sama de dar habaab
tu to he mehboob tera her karishma be hijaab
inteha teree inayat k na bakhshish ka hisaab


teree haibat se laraztay hain zameen o asmaan
tere azmat per he saajid kul malaek ins o jaan 
zarra zarra se teree takhleeq hote he ayaan
ae sameeon ae aleemum ae reheemun mehrban

tere ik adnaa isharay se banee kul kaenaat
kun kaha tu ne mukammal ho gaee her ik baat
tu he lasanee tu  he be misl tere kul siffaat
bartar o baal a o aala he ilahee teree zaat

tere jalwo se he roshan anjam e shams o qamar
he tajalee se teree bazm e do aalam jalwa gar
maalike kon o makaan ae khaliq e jinno bashar
ibtida janay na tere inteha koi magar

dast e qudrat me he tere saray aalam ka nizaam 
he shehanshahee tujhee ko zaib sab tere ghulaam 
aasra taktay hain tera hee jo bigray koi kaam
bekas o nashaad hoo mjh ko bhee kar de shaad gaam

teray mumkin ko na koi gher mumkin kar sakay
gher mumkin jis ko kar de kon usay mumkin kare
aajiz o mehkoom he dono jahan agay tere
multajee he gul bhee ae ghaffar bakhshish ke leai


Wednesday, April 20, 2016

bht bigraa he mera dil bana de

bht bigra he mera dil bana dil bana de
mere dil ko kisi qaabil bana de

isay dunya ne ghera he khudaaya
tu apnay deed ka saael bana de

phansa he daldal e isyaan k andar
tu is toofan ko saahil bana de

hua he nafs e ammara ke taabay
tu itmenaan ka haamil bana de

me mehroom e basaarat huu khudaaya
baseerat jalwa e manzil bana de

rahay jo zikr se her dam munawwar
khudaya aisa mera dil bana de

ataa kar aankh mujh ko ronay walee
isee ko zeest kaa haasil bana de

waseela hazrat e rasheed ul haq ka
tu is majzoob ko kaamil bana de


rasool ullah k sadqay main ya rab
hamain firdaus k qaabil bana de

hamain jo ilme kee dolat ataa kee
tu apnay fazal se aamil bana de

jo teree zaat ka maskan ho maula
dil e mohsin ko aisa dil bana de




umer ibn e khattab

wo doem khaleefa rasool e khuda ka
ameer ehl e eeman  ehl e raza ka
wo teghay jigar dar shamsheer barra
wo zarb e ilahee wo farooq e dora

he us kee bhala koi tareef kee had
wo marzee e rab he dua e muhammad
hua haq parastee ka jab se wo qael
laraznay laga us kee haibat se baatil

kahan kaun he jo muqabil me ae
mjhe mere eeman se rok pae
amal is sahabee ka radday bala tha 
k shaitaan jisay dekh kar bhaagta tha

ye irshad e baala e khatm ur rusul ka
mere baad aata nabee to umer tha
umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

na dekha kisi ne bhee sardaar aisa
khaleefa he lekin he mazdoor jesa
chupa kar zamany se apnay iraday
chala he kamar per wo samaan laaday

?diya aik muflis ko tarkhat kaddha ke
ke is ghar main bhookay hain banday khuda ke

kaha mere daur e khilafat me koi
rahay bhooka pyaasa agar jaanwar bhee
to ehl e ajam ko na ehlay arab ko
umer phir kia de ga jawaab apnay rab ko

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

khasheeyat o lillaheeyat ka wo paikar
tawakkul tawaazo thay us k asaakir
k thee jis kee shahee me tarze faqeeree
magar zaib detee thee us ko ameeree

wo makhdoom ho k bhee khaadim tha sab ka
usay khauf rehta tha bas apnay rab ka
tha khalq e khuda ka khayaal us ko itna
madeenay me raatoan ko wo ghoomta tha

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

jo irshaad farmaya tha mustafa ne
kia us ko pora umer ke khuda ne
k faaraa se le kar ta Iran ho ga
ba her haal ghaalib musalmaan hoga

futoohaat us kee qadam choomtee thee
musarrat se rooh e nabi jhoomtee thee
zameen us k daur e khilafat pe naazan 
falak us k tarz e adaalat pe shaadaan

zameen dar zameen us ka siqqa rawaan tha
magar koi dekhay k wo khud kahan tha
umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

wo niklay to ahmed k dushman thay janee
jab ae to ban le khalifa wo saanee
sar e farsh masid k goshay me jaa kar
wo leta he pathar ka takeeya laga kar

ho kia aur insaaf is se ziada
k khaadim he naaqa pe khud he piyaada
ye manzar kisi ne na dekha tha pehlay
falak bhee usay khaab samjha tha pehlay

ajab shaan o azmat ka wo hukmaraan tha
k barr o behar main bhee siqqa rawaan tha
hawaa us ka paighaam taiba se paa kar
urray aur pohanchaya iran jaa kar

parrhay us ka naama to hat jae daryaa
umer naam sun kar simat jae daryaa
wo aadil bhee munsif bhee batlay jaree tha
haqeeqat me wo naqshay paa e nabee tha

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

tha manzoor e haq ye k Allah o Akbar
nabee mashwara us se letay thay aksar
masheeyat k raazoan ko wo kholta tha
k us kee zubaan main khuda bolta tha

kahaan aik farangee zameer aashna ne
k sachaaee bakhshee thee us ko khuda ne
agar ik umr aur dunya me hota
her ik shakhs hee chain kee neend sotaa

wo pehla khaeefa jisay aazmaaya
shahaadat ka aizaz jis ne he paaya
magar aik aizaaz us se bhee aala
he jis se he waqif her eemaan waala
rafeeq e mazaar e nabee e mukarram
khayaal aisay insaaf e sadq e do aalam


umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

Thursday, April 14, 2016

Tarap raha hu tere dar kee hazree ke leai

tarap raha hu tere dar kee hazree k leai

koi guftugu ho lab per
tere naam aagaya he
tere madha kartay kartay
ye maqaam aagaya he

khudaya aisa koi intezam ho jae 
salam ke leai haazir ghulaam ho jae

wo jo pee k sheikh e saadee
bala ghal ulaa pukaray
mere dast e natawaan main
wohee jaam agaya he

ye taalab he ambiyaa ke
rukh e mustufa ko dekhay
ye namaz ka waseela 
unhain kaam aagaya he

khudaya aisa koi intezam ho jae
salam k leai hazir ghulam ho jae

mera dil tarap raha he
mera jal raha he seena
k dawa wohee milay gee
mjhe le chalo madeena

?
?
mere arzoo muhamamd mere justuju muhamamd

khudaya aisa koi intezam…

kis cheez ke kamee he
mola tere galee main
dunya tere galee main
uqbaa tere galee main

khudaya…



her ek jahaan main her ek makaan per

her ek jahaan me her ek makaan per
nabee ke jhanday garhay hue hain
jo un kee azmat ko mantay hain
unhee k ghar pe paray hain 

nabee kee naatain nabee kee baatain
wo likh rahay hain me parh raha huun
me dekhta huu nabee k sadmay
gunaah meray jharray hue hain

dar e nabuwat jo band na hota 
nabee siddique o umer bhee hota
ye martabay hain umer k logoan
jo un ko rab se milay hue hain

umer ho tum pe salam tum ne
nabee ka jhanda buland kia he
yehee wajan he yae naam sun ke
abhee bhee kaafir daray hue hain


hussain rab ka hussain sab ka
nishan e manzil hussain haq ka
jo he hussainee abhee bee dekho
wo haq ke khaatir katay hue hain

durood parhna he kaam mera
unhain sunana he kaam tera
nabee ke aashiq abhee liaqat 
nabee pe jaanain luta rahay hain

wo hain khuda kee nazar me zinda
kabhee na kehna maray hue hain

he ek jahann main,,,,,,,,


Agar Allah waloan se nahee dil kee dawaapata

agar allah walon se nahee dil kee dawa pata
bht mushkil tha apne nafs e sarkash ko dabaa paata

khuda kee sarkashee se khud kushee he maal o dolat main
kabee Allah waloan se nahee aisa sunaa jaata 

sukoon e dil utarta he falak se ehl e taqwa per
bidoo hukm e khuda saaes da phir kesay paa jata??

agar petrol ke maanind hota ye sukoon e dil
zameen me kar k boring is ko her kaafi bhee paa jata

butoan ke ishq se dunya main her aashiq hua paagal
gunahoan se sukoon paata to kyu paagal kaha jaata

bacho ganday amal se amradoan se door ho jao
agar ye fail acha tha khuda pathar na barsata

nahee mumkin tha un kee raah main mera qadam rakhna
agar jazbay karam kee dil nahee koi sadaa paata

me thak jaata hu apnee daastan e dard se akhtar
magar me kia karoo chup bhee nahee mjh se raha jaata





Thursday, April 7, 2016

اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ

الحمد لمن قدر خیرا وخبالا
والشکر لمن صور حسنا وجمالا

تعریف اس کی جس نے کئے پیدا خیر و شر
اور شکر اس کا جس نے دیا حسن کا ثمر
۔۔۔۔۔۔

فرد صمد عن صفت الخلق بری ء
رب ازلی ء خلق الخلق کمالا

یکتا وہ بے نیاز خط خلق سے بری
پروردگار ہے اسے زیبا ہے سروری

۔۔۔۔۔۔۔۔۔
لا ضد ولا ندا ولا حد لمولا
الآن کما کان ولم یلق زوالا

مخلوق اس نے پیدا کی اپنے کمال سے
تنویر کائنات ہے اس کی جمال سے
۔۔۔۔۔۔۔۔

لا مثل ولا صور مثلا ونذیرا
ما القال سوا ذالک قد قال محالا

کوئی نہیں مقابلے میں حد و بے مثال
جیسا تھا ویسا ہے ہر گز نہیں زوال
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

لا شبہہ ولا مثلا ولا کفوا لمولا
لا ولد ولا والد لا عما و خالہ

بےمثل ذات کی کوئی ممکن نہیں مثال
اس کی نظیر ڈھونڈنا ہے کوشش محال
۔۔۔۔۔۔۔۔

لا قبل ولا بعد ولا وقت زمانہ
لا مانعہ لا حاجبہ للہ تعالی

مولائے کل کا مثل اور ہمسر نہ ہے کوئی
دونوں جہاں میں اس کے برابر نہیں کوئی
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

الاول والآخر والظاہر حقا
والباطن مولاہ بلا قیلا و قالا

اول بھی اس کی ذات ہے آخر بھی اس کی ذات
باطن بھی اس کی ذات ہے ظاہر بھی اس کی ذات
۔۔۔۔۔۔۔

صل علی افضل رسل ونبی ء
فی کل صباح ومساء وزوالا

Thursday, March 31, 2016

اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ اللہ

الحمد لمن قدر خیرا وخبالا
والشکر لمن صور حسنا وجمالا

تعریف اس کی جس نے کئے پیدا خیر و شر
اور شکر اس کا جس نے دیا حسن کا ثمر
۔۔۔۔۔۔

فرد صمد عن صفت الخلق بری ء
رب ازلی ء خلق الخلق کمالا

یکتا وہ بے نیاز خط خلق سے بری
پروردگار ہے اسے زیبا ہے سروری

۔۔۔۔۔۔۔۔۔
لا زکدا ولا نکدا ولا حدن مولا
الآن کما کان ولم یلق زوالا

مخلوق اس نے پیدا کی اپنے کمال سے
تنویر کائنات ہے اس کی جمال سے
۔۔۔۔۔۔۔۔

لا مثل ولا صور مثلا ونذیرا
ما القال سوا ذالک قد قال محالا

کوئی نہیں مقابلے میں حد و بے مثال
جیسا تھا ویسا ہے ہر گز نہیں زوال
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

لا شبہہ ولا مثلا ولا کفوا لمولا
لا ولد ولا والد لا عما و خالہ

بےمثل ذات کی کوئی ممکن نہیں مثال
اس کی نظیر ڈھونڈنا ہے کوشش محال
۔۔۔۔۔۔۔۔

لا قبل ولا بعد ولا وقت زمانہ
لا مانعہ لا حاجبہ للہ تعالی

مولائے کل کا مثل اور ہمسر نہ ہے کوئی
دونوں جہاں میں اس کے برابر نہیں کوئی
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

الاول والآخر والظاہر حقا
والباطن مولاہ بلا قیلا و قالا

اول بھی اس کی ذات ہے آخر بھی اس کی ذات
باطن بھی اس کی ذات ہے ظاہر بھی اس کی ذات
۔۔۔۔۔۔۔

صل علی افضل رسل ونبی ء
فی کل صباح ومساء وزوالا

Thursday, March 17, 2016

عارفانہ کلام

غم ان کے راستے کے سنبھالے نہیں گئے
جب تک کہ مرشدی سے دعا لے نہیں گئے

کانٹے پناہ گزیں تھے جو پھولوں کی اوٹ میں
گلشن سے باخدا وہ نکالے نہیں گئے

ان کی نظر سے قلب میں وہ روشنی ہوئی
پلکوں سے قمقموں کے اجالے نہیں گئے

ان کی خدا رسیدہ نگاہوں کے فیض سے
کم ہیں جو اپنے دل میں خدا لے نہیں گئے

ایمان ، صدق ، مہر ، وفا ، آگہی ، خلوص
تائب یہاں جو آئے وہ کیا لے نہیں گئے

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

جو نظر کو شیخ کی نظروں سے ملائے ہوئے ہیں
ساری دنیا کو نگاہوں سے گرائے ہوئے ہیں

حسرت و یاس سے تکتے ہیں انہیں ماہ و نجم
قمقمے شیخ جو پلکوں پہ سجائے ہوئے ہیں

سانس اکھڑتی ہے مگر پاءوں اکھڑتے ہی نہیں
راہ تقوی میں قدم ایسے جمائے ہوئے ہی

دیکھیئے کیسے چلا کرتے ہیں چلنے والے
خار سے دامن تقوی کو بچائے ہوئے ہیں

کیسی نکھری ہوئی رنگت ہے میرے مرشد کی
کیوں نہ ہو خون تمنا سے نہائے ہوئے ہیں

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

اک باغباں کو دیکھیئے سو بار دیکھیئے
گلشن میں آکے کیا درو دیوار دیکھیئے

دنیا ہے آس پاس مگر دل سے دور ہے
اب بھی ہیں صاحب کردار دیکھیئے

کیا کچھ نہ باغباں نے کی محنت دعا کے ساتھ
کیسا چمن ہے آج ثمر بار دیکھیئے

آنکھیں ہر ایک کی وہ جو بچاتے ہیں غیر سے
کتنے ہیں ان کے طالب دیدار دیکھیئے

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

کب کہا کہ یہ دنیا اہل دل سے خالی ہے
لیکن اپنے مرشد کی بات ہی نرالی ہے

تم گمان رکھتے ہو ہم یقیں سے کہتے ہیں
شان تربیت ان کی دھر میں مثالی ہے

آپ کی عنایت ہے آج جو بھی ہیں ہم سب
اپ نے دعا دی ہے آپ سے دعا لی ہے

غفلتوں کی راتیں تھیں اور ہماری بے چینی
آپ نے تسلی دی صبح ہونے والی ہے

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

ہمیشہ خدا کی محبت کی باتیں
ہمیشہ نبی کی اطاعت کی باتیں
یہی میرے مرشد کی جلوت کی باتیں
یہی میرے مرشد کی خلوت کی باتیں

جو حسن سماعت خدا ہم کو بخشے
تو کانوں سے اپنے سماعت کریں ہم
بلا کی بلاغت غضب کی فصاحت
جنوں کی حکایت قیامت کی باتیں

نگاہیں جھکا کر گزرنا سکھایا
خدا سے سر راہ ڈرنا سکھایا
بچاییں جو شر او آفت سے ہم کو
سکھائیں وہ ہم کو شرافت کی باتیں

ہواءوں پہ آڑنا نہ پانی پہ چلنا
شریعت و سنت کی سانچے میں ڈھلنا
یہی کچھ بتاتے ہیں مرشد ہمارے
یہی کچھ ہیں ان کی کرامت کی باتیں

مقالے کا عنوان ہے حسن فانی
حیا سے ہے پی ایچ ڈی پانی پانی
بچاتے ہیں وہ عشق صورت سے ہم کو
سنا کرہمیں حسن سیرت کی باتیں

نہ گلشن میں آتے نہ ملی سے ملتے
نہ تقوی کے چاروں طرف پھول کھلتے
نہ تائب مصائب سے بچ کر نکلتے
خداکی قسم ہیں یہ قسمت کی باتیں
۔۔۔۔۔۔

عجیب درد ہے اس باخدا کے لہجے میں
وہ ٹوکتا ہے خطا پر عطا کے لہجے میں

بظاہر ان کا لب و لہجہ سخت ہو لیکن
وہ تب بھی رکھتے ہیں شفقت چھپا کے لہجے میں

میرے گماں میں ہے اب خال خال ہی ایسے
جو غیر سے بھی ملیں آشنا کے لہجے میں

یہ حوصلہ مجھے ابدال وقت ہی سے ملا
کہ میں بھی شعر کہوں اولیا کے لہجے میں

وہ گل ہو خار بلبل کے زاغ ہو تائب
ہر ایک سے بات کریں وہ صبا کے لہجے میں
۔۔۔۔۔۔۔۔

کسر کچھ نہ چھوڑی تھی حرص و حوا نے
میری لاج رکھ لی تمہاری دعا نے

تمہیں گر نہ پاتے کہیں کے نہ رہتے
ملا ہم کو جو کچھ تمہارے بہانے

گو نام خدا تو زباں زد تھا لیکن
خدا سے ملایا ہمیں باخدا نے

کہو معترض سے زیادہ نہ بولے
وہ سن ہو جائے لہو جب سنانے

گرے جب پڑے تھے تو کون آیا ہم کو
اٹھا کر بٹھانے بٹھا کر چلانے

چلا کر نہیں جس نے چل کر دکھایا
کوئی اس کا احسان کیوں کر نہ مانے

ارے عقلمندوں تم عاشق نہیں ہو
اگرہوتے عاشق تو ہوتے دیوانے

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔