Wednesday, December 21, 2016

Allahoo Allahoo qari ehsan mohsin

tera hee naam aalam me he koo ba koo
roshnee tere jalwoo ke he chaar soo

phook e koyal me tusaot e bulbul me tu 
bail bootoan me tu ghuncha e gul me tu 
her tere naam kee her jaga rang o boo 

Allahoo….

chandnee dhoop shamso qamar kehkashaan 
hain sabee me teree jalwa areeyan
nakhat e ghuncha o yasmeen o chaman 
sab me maujood hain tere raanaaeeyaan

her rag o pay me tu dil kee dharkan me tu
jalwa gar he musalman k man me tu 
hay her ek cheez ko teree hee justujoo 
Allahoo allahoo….

ye hawa ye khala ye faza ye samaan
her taraf tere hikmat kee pehnaeeyaan
behr o bar sharq o gharb o zameen aasmaan
her jaga he teree zaat jalwa numaa

her zabaan per hain naghmaat tauheed k
her qalb k andar he bas tu hee tu 

Allahoo….

tere he zzat e Allah subhanahoo…
allahoo…

tere pakeezgee mominoan ka wuzoo
bandagee he qayaam o sujood o rukoo
zindagee bhar karoo me ibaadat teri
martay dam tera kalma ho wirday zubaan

aisee tabish ho husn e amal se mere
roz e mehshar me kehta phiroo tu hee tu
Allahooo….

shak nahee he me bebas hoo lachaar hoo
is leai me museebat giriftaar hu
haath pakray mera kon teray siwa
mujh ko teri madad chaheai ae khuda

roz o shab kar raha hu khata per khata
moon se kia kahoo he tujhay sab pata
he gunahoan kee kasrat se rehmat wasee
yanee rehmat ka matlab khuda tu hee tu 
Allahoo…..


tera ehsaan mohsin pe ehsaan he
is gunaah gaar pe ye karam bareeyan
hamd k geet gaata na likhta kabee
tu ne bakhshee hain lekin tawanaeeyaan

aur itna karam ae kuda keejeeai
zikr se bee hamain muhtaram keejeai
mere lab per rahay ya khuda tu hee tu 
Allahooo…….


La ilaha Illahla Qari ihsan mohsin qasmi

dil ko gar chamkana he 
gar eeman banana he 
millat ko batlana he 
nagree nagreee gaana 

la ilaha illaho la ilaha illah 

galeeyoan me chobaroan main
koochoan main bazaroan main
shamo sahar or raat or din 
her dam yahee yehee kalima gin 
la ilaha illah o laillah 

gul or gulshan me 
fan karoan k fan main 
her dil kee dharkan me he or
her momin mk man me he

la ilaha…..

wehdat k maikhanoan main
rindoan me paimanoan me
maula ke deewanoan me
ab dhun he yehee mastanoan me

la ilaha illah illah ….. 

khalwat main mehfil me bee
rahaat or mushkil me bhee
rehro kee manzil me bhee 
her lab per her dil me bhee 

la ilaha ……

balaee main pastee main
weeranay me bastee main
aag laga kar hastee main
tu kehta phir ye mastee main 

la ilaha illallah …


parwazoan tayyaroan me
khurrd bala sayyaroan me
suuraj chaand sitaroan me
sab qudrat k nazaroan me

la ilaha….

israel kee baat main bhee
qar moosa siraat me bhee
her din me her raat me bhee
saree kaenaat me bhee

la ilaha….

majlis k anwaar me he
murshid kee guftaar me he
saalik k afkaar me he
mohsin k ashaar me he 

la ilaha illallah …..






Wednesday, December 7, 2016

ye lagan he dil kee ye arzoo

ye lagan he dil kee ye arzoo
tera naam her soo buland ho
tera zikr aam ho koo ba koo
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo

tu raheem he tu kareem he
teree zaat sab se azeem he
tere shaan jalla jalalohoo
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo..

ye zameen or ye asmaan
tere zaat hee ka hain aeena
nazar in me aata he tu hee tu
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo..

mera dil sarapa he gandagee
na mjhe saleeqa e bandagee
ma e ishq se tu kara wuzu
tera naam her soo buland ho

ye lagan he dil kee ye arzoo....

yehee soch ho yehee fikr ho
mere lab pe tera hee zikr ho
shab o roz ho yehee justujoo
tera naam her soo buland ho







mar k apnee he adaoon pe amar ho jaoo

mar k apnee hee adaoon pe amar ho jaoon 
un kee dehleez k qaabil me agar ho jaoon

un kee rahoan pe mujhe itna chalana ya rab
k safar kartay hue gard e safar ho jaoon 

zindagee ne to samandar me mjhe phenk dia 
apnee muthee me wo le lain to guhar ho jaoon

mera mehboob he wo raah bar e kon o makaan
jis kee aahat bee me sun loo to khizar ho jaoon

is qadar ishq e nabi ho k mita doon khud ko
is qadar khauf e khuda k nidar ho jaoon

zarb doon khud ko jo un se to lagoon laataadaad
wo jo mujh main se nikal jaen sifar hojaoon

aarzoo ab to muzaffar jo koi he to ye he
jitna baqee hoo madeenay me basar ho jaoon 




Tuesday, December 6, 2016

Owaiseeyo me beth ja bilaleeyoan me beth ja

Owaiseeyo me beth ja bilaeeyo me beth ja
talab hekuch to be talab sawaleeyoan me beth ja

ye maarifat ke rastay hain ehl e dil k wastay
junaideyoan se jaa k mil ghazaleeyoan me beth jaa

sahabeeyoo se phool tabaeen se charaagh le
huzoor chaheain to in mawaleeyoan me beth ja 


durood parrh namaaz parh ibaadatoan k raaz parrh
safain to sab bichee hain ishq waleeyoan me beth ja 

her ek saans per jo un ko dekhnay ka shauq he
to aankh ban kar un k dar kee jaleeyoan me beth jaa

agar hain khalwatain azeez to hujoom me nikal 
agar sukoon chaheai dhamaleeyoan me beth jaa

jo chahta he gulsitaan e mustafa kee nokree
to boo e mustufa pehan k maaleeyoan me beth ja

muzaffar un tak rasaee itnee sehal to nahee
twajja chaheai to yarghamaleeyoan me beth ja