Wednesday, December 21, 2016

Allahoo Allahoo qari ehsan mohsin

tera hee naam aalam me he koo ba koo
roshnee tere jalwoo ke he chaar soo

phook e koyal me tusaot e bulbul me tu 
bail bootoan me tu ghuncha e gul me tu 
her tere naam kee her jaga rang o boo 

Allahoo….

chandnee dhoop shamso qamar kehkashaan 
hain sabee me teree jalwa areeyan
nakhat e ghuncha o yasmeen o chaman 
sab me maujood hain tere raanaaeeyaan

her rag o pay me tu dil kee dharkan me tu
jalwa gar he musalman k man me tu 
hay her ek cheez ko teree hee justujoo 
Allahoo allahoo….

ye hawa ye khala ye faza ye samaan
her taraf tere hikmat kee pehnaeeyaan
behr o bar sharq o gharb o zameen aasmaan
her jaga he teree zaat jalwa numaa

her zabaan per hain naghmaat tauheed k
her qalb k andar he bas tu hee tu 

Allahoo….

tere he zzat e Allah subhanahoo…
allahoo…

tere pakeezgee mominoan ka wuzoo
bandagee he qayaam o sujood o rukoo
zindagee bhar karoo me ibaadat teri
martay dam tera kalma ho wirday zubaan

aisee tabish ho husn e amal se mere
roz e mehshar me kehta phiroo tu hee tu
Allahooo….

shak nahee he me bebas hoo lachaar hoo
is leai me museebat giriftaar hu
haath pakray mera kon teray siwa
mujh ko teri madad chaheai ae khuda

roz o shab kar raha hu khata per khata
moon se kia kahoo he tujhay sab pata
he gunahoan kee kasrat se rehmat wasee
yanee rehmat ka matlab khuda tu hee tu 
Allahoo…..


tera ehsaan mohsin pe ehsaan he
is gunaah gaar pe ye karam bareeyan
hamd k geet gaata na likhta kabee
tu ne bakhshee hain lekin tawanaeeyaan

aur itna karam ae kuda keejeeai
zikr se bee hamain muhtaram keejeai
mere lab per rahay ya khuda tu hee tu 
Allahooo…….


No comments:

Post a Comment