Wednesday, January 27, 2016

sab ka daata he tu sab ko deta he tu

kis se managen kahan jaen kis se kahain
aur dunya me haajat rawa kon he?

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
teray bandoan ka teray siwa kon he

kon maqbool he kon mardood he 
bekhabar kia khabar tujh ko kia kaun he? 

jab tulain ge amal sab ke meezan per
tab khulay ga k khotta kharra kon he?

kon sunta he faryad mazloom kee
kis ke hathoan me kunjee he maqsoom kee

rizq per kis k paltay hain shah o gada
musna daara e bazm e ataa kon he?

sab ka aqa he tu sab ko deta he tu
teray bando ka teray siwa kon he

awleeya teray muhtaj ae rab e kul
teray banday hain sab ambiya o rusul

unke izzat ka baais he nisbat teree
un ke pehchaan teray siwaa kon he?

he khabar bhee wohee mubtada bhee wohee
nakhuda bhee wohee he khuda bhee wohee

jo he saray jahanoan me jalwa numa
us ahad ke siwa doosra kon he!

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
tere bandoan ka teray siwa kon he!

ambeyaa awleeya ahl e bait e nabee
tabe een o sahaaba pe jab aa banee

gir k sajday main sab ne yehee arz kee
tu nahee he to mushkil kusha kon he!

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
tere bandoan ka teray siwa kon he!

ahl e fikr o nazar jantay hain tujhay
kuch na honay pe bhee mantay hain tujhay

ae shafi is ko tu fazl e baree samajh

warna tere taraf dekhta kon he

Wednesday, January 20, 2016

ya mere allah

ya mere allah ya mere allah  ya mere allah ya mere allah
(12)

mere kismet jaganay ko khuda ka naam kafee he
hazaro gham mitanay ko khuda ka naam kafee he

ya mere allah …

mjhe he ishq allah se mere mehboob allah he
tarap dil me barhanay ko khuda ka naam kafee he

ya mere allah (8)

jo dekha kamlee walay ne kaha siddiqu e akbar ne
mere saray gharanay ko khuda ka naam kafee he

ya mere allah .

tilawat se ibadat se riazat khoob miltee he
k dil se zang hatanay ko khuda ka naam kafee he

ya mere allah 

khuda k dar pe aajao agar maqsood pana he
k her maqsad k panay ko khuda ka naam kafee he

ya mere allah ….

yehe kehta he ghalib bhee yehee sab log kehtay hain
humain rasta dikhanay ko khuda ka naam kafee he

Ya mere Allah ..


Wednesday, January 13, 2016

Hasbee rabee jallallah

has rabbi jallallah 
ma fee qalbee ghaer ullah 
noor muhammad sallallah 
la ilaha illallah
حسبی ربی جل اللہ
ما فی قلبی غیر اللہ
نورمحمد صل اللہ
لا الہ الااللہ
Tere sadqay main aaqa
sara jahan ko deen mila mila
be deeno ne kalma parha 
la ilaha illallah 
تیرے صدقے میں آقا 
سارے جہاں کو دین ملا
بے دینوں نے کلمہ پڑھا
لا الہ الا اللہ

hasbee rabeee…..

simtay nabi boo jehal gaya
aaqae se us ne ye kaha
gar ho nabi batlao zara
mere muthee me he kya

aaqa ka farman hua
aur fazl e rahman hua
muthee se pathar bola
La ilaha illallah

سمت نبی بوجہل گیا 
آقا سے اس نے یہ کہا
گر ہو نبی بتلاءو ذرا 
میری مٹھی میں ہے کیا

آقا کا فرمان ہوا
اور فضل رحمان ہوا
مٹھی سے پتھر بولا
لا الہ الا اللہ

Hasbee rabee …..

wo jo bilal e habshee he
sarwardee ka pyara he 
dunya ke her aashiq kee
 aankhoan ka wo taara he

zulm hue kitne us per
seenay per rakha patha
lab per phir bhee jaree tha
la ilaha illallah

وہ جو بلال حبشی ہے
سروردی کا پیارا ہے
دنیا کے ہر عاشق کی
آنکھوں کا وہ تارا ہے

ظلم ہوئے کتنے اس پر
سینے پہ رکھا پتھر
لب پہ پھر بھی جاری تھا
لا الہ الا اللہ

apne behan se bolay umer
ye to bata kia kartee the
mere aanay se pehlay 
kia chupkay chupkay parrhtee thee

behn ne jab quran parha
sun k kalam e paak khuda 
dil ye umer ka bol utha 
la ilaha illallah

اپنی بہن سے بولے عمر
یہ تو بتا کیا کرتی تھیں
میرے آنے سے پہلے کیا 
چپکے چپکے پڑھتی تھیں

بہن نے جب قرآن پڑھا
سن کے کلام پاک خدا
دل یہ عمر کا بول اٹھا
لا الہ الا اللہ

dunya k insan sabee 
shirk o bidat kartay thay
rab k thay banday phir hee
but ke ibadat kartay thay

but khanay hain tharrae 
mere nabi heain jab ae 
kehnay lagee makhlooq e khuda
la ilaha illallah

دنیا کے انسان سبھی
شرک و بدعت کرتے تھے
رب کے تھے بندے پھر بھی
بت کی عبادت کرتے تھے

بت خانے ہیں تھرائے
میرے نبی ہیں جب آئے
کہنے لگی مخلوق خدا
لا الہ الا اللہ

Hasbee rabee …….

Monday, January 11, 2016

Me tera faqeer malag khuda

me tera faqeer malan khuda
 mjhe apne rang me rang khuda

tu din me he tu raat main he
her phool me he her paat me he
mere soch mere naghmaat me he
meree rooh me he mere zaat me hain
terea noor tera aahang khuda 
mjhe apne rang me rang khuda

me tera faqeer ….

tere rehmat yoo apnae mhe
aankhoan per waqt bithae mjhe
tujh bin aik saans na ae mjhe
shaitan agar behkae mjhe
karoon apne aap se jang khuda
mjhe apne rang me rang me rang khuda

me tera faqeer malang khuda….

seena ho mera sheeshay ke tarah
aur beenaee jharnay kee tarah
awaz bhee ho sholay kee tarah
chamkoo me sada heeray kee tarah
mjhe lagnay na pae zang khuda
mjhe apne rang me rang khuda

me tera….