Wednesday, January 27, 2016

sab ka daata he tu sab ko deta he tu

kis se managen kahan jaen kis se kahain
aur dunya me haajat rawa kon he?

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
teray bandoan ka teray siwa kon he

kon maqbool he kon mardood he 
bekhabar kia khabar tujh ko kia kaun he? 

jab tulain ge amal sab ke meezan per
tab khulay ga k khotta kharra kon he?

kon sunta he faryad mazloom kee
kis ke hathoan me kunjee he maqsoom kee

rizq per kis k paltay hain shah o gada
musna daara e bazm e ataa kon he?

sab ka aqa he tu sab ko deta he tu
teray bando ka teray siwa kon he

awleeya teray muhtaj ae rab e kul
teray banday hain sab ambiya o rusul

unke izzat ka baais he nisbat teree
un ke pehchaan teray siwaa kon he?

he khabar bhee wohee mubtada bhee wohee
nakhuda bhee wohee he khuda bhee wohee

jo he saray jahanoan me jalwa numa
us ahad ke siwa doosra kon he!

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
tere bandoan ka teray siwa kon he!

ambeyaa awleeya ahl e bait e nabee
tabe een o sahaaba pe jab aa banee

gir k sajday main sab ne yehee arz kee
tu nahee he to mushkil kusha kon he!

sab ka daata he tu sab ko deta he tu
tere bandoan ka teray siwa kon he!

ahl e fikr o nazar jantay hain tujhay
kuch na honay pe bhee mantay hain tujhay

ae shafi is ko tu fazl e baree samajh

warna tere taraf dekhta kon he

No comments:

Post a Comment