Saturday, March 14, 2015

Wo mera nabi he

Wo jis k leai mehfil e konain sajee he
Firdaus e bareen jis k waseelay se banee he
Wo hashmee makkee madanee ul arabee he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Ahmad he Muhammad he wo he khatm e Rusul he
Makhdoom o murabbeee he wahee walee e kul he
Us per he nazar saray zamany kee paree he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Washams e duhaa chehra e anwar kee jhalak he
Wallaeelay saja gaisoo e hazrat kee lachak he
Alam ko zia jis k waseelay se milee he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Allah ka farmaan alam nashrah laka sadrak
Mansoob he jis se warafana laka zikrak
Jis Zaat ka Quran me bhee zikr e jalee he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Muzzamil o yaseen wa mudassir o taaha
Kia kia nae alqaab se Maula  ne pukara
Kia shaan he us kee k jo ummeee laqabee he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Wo Zaat k jo Mazhar e Lao la kalima he
Jo sahib e rafat shabay meraj hua he
Asraam e imamat jisay nabeeyo kee milee he
Wo mera nabi mera nabi mera nabi he

Jis darja zamany me thee mazloomee e aurat
Phir jis ke badolat milee usay izzat o riffat wo mohsin o gham khwar hamara he nabi he
Wo in ka nabee un ka nabee sab ka nabee he

Wo mera nabi he.

Wednesday, March 11, 2015

Zulf e sarkar

Zulf e sarkar se jab Chehra nikalta hoga
Phir bhala kesay koi Chand ko takta hoga

Maan haleema tu bata tu ne to dekha hoga
Kesay Tujh se mera mehboob lipatt taa hoga

Kitnee khush bakht hain tayba kee wo galeeyan yaroan
Jin me ban than k wo mehboob nikalta hoga

Mujh ko maloom he taiba se judaee ka asar
Sham ko shams bhee rota hua dhalta hoga

Tuesday, March 10, 2015

Ae habeebay khuda

Syed ul anbiyaa khatam ul mursaleen
Noor e rab ul olaa rahmat ul alameen
Sarwar e asfiya shaafe e muznibee
Ahmad e mustafa shah e dunya o deen

Ae habeebay khuda Roz o shab subh o shaam
Un pe laakhoan durood or lakhoan salaam

Fakhre jinn o bashar naimat e bebaha
Nazish e behro Barr sadr e bazmay huda
Keemya her nazar mojza her adaa
Farsh se arsh tak ishq jalwa numaa

Ae habeebay khuda Roz o shab subh o shaam
Un pe laakhoan durood or lakhoan salaam

Awal e noor or aakhir e mursaleen
Maya e naaz e gul awaleen akhireen
Ambiya o malaaek me afzal tareen
Balkay baad az khuda muqtadar bilyaqeen

Ae habeebay khuda Roz o shab subh o shaam
Un pe laakhoan durood or lakhoan salaam

Mazhar e shafqat e khaas ta maa qalaa
Saofa yoteeka aik fazle e be inteha
Phir fatardha kee naazish ka tamgha mila shaan e aalee pe rooh hamaree fida

Ae habeebay khuda Roz o shab subh o shaam
Un pe laakhoan durood or lakhoan salaam

Rifat e zikar ka martaba ye mila
Naam sathee he Allah ke naam ka
Aap ka hukm goya he hukm e khuda
Khud khuda aap kee kar raha he sana

Ae habeebay khuda Roz o shab subh o shaam
Un pe laakhoan durood or lakhoan salaam