Wednesday, April 20, 2016

umer ibn e khattab

wo doem khaleefa rasool e khuda ka
ameer ehl e eeman  ehl e raza ka
wo teghay jigar dar shamsheer barra
wo zarb e ilahee wo farooq e dora

he us kee bhala koi tareef kee had
wo marzee e rab he dua e muhammad
hua haq parastee ka jab se wo qael
laraznay laga us kee haibat se baatil

kahan kaun he jo muqabil me ae
mjhe mere eeman se rok pae
amal is sahabee ka radday bala tha 
k shaitaan jisay dekh kar bhaagta tha

ye irshad e baala e khatm ur rusul ka
mere baad aata nabee to umer tha
umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

na dekha kisi ne bhee sardaar aisa
khaleefa he lekin he mazdoor jesa
chupa kar zamany se apnay iraday
chala he kamar per wo samaan laaday

?diya aik muflis ko tarkhat kaddha ke
ke is ghar main bhookay hain banday khuda ke

kaha mere daur e khilafat me koi
rahay bhooka pyaasa agar jaanwar bhee
to ehl e ajam ko na ehlay arab ko
umer phir kia de ga jawaab apnay rab ko

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

khasheeyat o lillaheeyat ka wo paikar
tawakkul tawaazo thay us k asaakir
k thee jis kee shahee me tarze faqeeree
magar zaib detee thee us ko ameeree

wo makhdoom ho k bhee khaadim tha sab ka
usay khauf rehta tha bas apnay rab ka
tha khalq e khuda ka khayaal us ko itna
madeenay me raatoan ko wo ghoomta tha

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

jo irshaad farmaya tha mustafa ne
kia us ko pora umer ke khuda ne
k faaraa se le kar ta Iran ho ga
ba her haal ghaalib musalmaan hoga

futoohaat us kee qadam choomtee thee
musarrat se rooh e nabi jhoomtee thee
zameen us k daur e khilafat pe naazan 
falak us k tarz e adaalat pe shaadaan

zameen dar zameen us ka siqqa rawaan tha
magar koi dekhay k wo khud kahan tha
umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

wo niklay to ahmed k dushman thay janee
jab ae to ban le khalifa wo saanee
sar e farsh masid k goshay me jaa kar
wo leta he pathar ka takeeya laga kar

ho kia aur insaaf is se ziada
k khaadim he naaqa pe khud he piyaada
ye manzar kisi ne na dekha tha pehlay
falak bhee usay khaab samjha tha pehlay

ajab shaan o azmat ka wo hukmaraan tha
k barr o behar main bhee siqqa rawaan tha
hawaa us ka paighaam taiba se paa kar
urray aur pohanchaya iran jaa kar

parrhay us ka naama to hat jae daryaa
umer naam sun kar simat jae daryaa
wo aadil bhee munsif bhee batlay jaree tha
haqeeqat me wo naqshay paa e nabee tha

umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

tha manzoor e haq ye k Allah o Akbar
nabee mashwara us se letay thay aksar
masheeyat k raazoan ko wo kholta tha
k us kee zubaan main khuda bolta tha

kahaan aik farangee zameer aashna ne
k sachaaee bakhshee thee us ko khuda ne
agar ik umr aur dunya me hota
her ik shakhs hee chain kee neend sotaa

wo pehla khaeefa jisay aazmaaya
shahaadat ka aizaz jis ne he paaya
magar aik aizaaz us se bhee aala
he jis se he waqif her eemaan waala
rafeeq e mazaar e nabee e mukarram
khayaal aisay insaaf e sadq e do aalam


umer ibn e khattab farooq e aazam
wo matloob o mehboob e rabbay do aalam

No comments:

Post a Comment