her ek jahaan me her ek makaan per
nabee ke jhanday garhay hue hain
jo un kee azmat ko mantay hain
unhee k ghar pe paray hain
nabee kee naatain nabee kee baatain
wo likh rahay hain me parh raha huun
me dekhta huu nabee k sadmay
gunaah meray jharray hue hain
dar e nabuwat jo band na hota
nabee siddique o umer bhee hota
ye martabay hain umer k logoan
jo un ko rab se milay hue hain
umer ho tum pe salam tum ne
nabee ka jhanda buland kia he
yehee wajan he yae naam sun ke
abhee bhee kaafir daray hue hain
hussain rab ka hussain sab ka
nishan e manzil hussain haq ka
jo he hussainee abhee bee dekho
wo haq ke khaatir katay hue hain
durood parhna he kaam mera
unhain sunana he kaam tera
nabee ke aashiq abhee liaqat
nabee pe jaanain luta rahay hain
wo hain khuda kee nazar me zinda
kabhee na kehna maray hue hain
he ek jahann main,,,,,,,,
No comments:
Post a Comment