Thursday, September 15, 2016

ae sabz gumbad walay manzoor dua karna

ae sabz gumbad walay manzoor dua karna
jab waqt e naza aae deedarr ataa karna

ae noor e khuda aaa kar aankhoan me sama jana
yaa dar pe bulaa lena ya khaab me aajana
ae parda nasheen dil kay parday main raha karna
jab waqt e nazaa ae deedar ataa karna

main qabr andheree main ghabraoo ga jab tanhaa
imdaad mere karnay aajana rasool Allah
roshan mere turbat ko ae noor e khuda karna
jab waqt e naza ae deedar ataa karna

mujrim hoo jahaan bhar mehshar me bharam rakhna
ruswa e zamana hoo daman me chupa lena
maqbool ye arz meree lillah zara karna
jab waqt naza aae deedaar ataa karna

chehray se zia paaee in chaand sitaroan ne
us dar se shifa paee dukh dard k maaroan ne
aata he unhain sabir her dukh ke dawaa karna
jab waqt naza aae deedaar ataa karna




No comments:

Post a Comment