Tuesday, March 14, 2017

Tum aik gorakh dhanda ho lyrics

kabee yaha tumhain dhoonda kabee whan pohancha 
tumharee deed kee khatir kahan kahaan pohancha 
ghareeb mit gae pamaal hogae lekin 
kisi talak na tera aaj tak nishaan pohancha

ho bee nahee or her jaa ho 
tum aik gorakh dhanda ho 

her zarray main kis shaan se tu jalwa numa he
heraan he magar aqal k kaisa he tu kia he

tujhe dehr o haram me main ne dhoonda magar  tu nahe milta 
magar tashreef farma tujh ko apnay dil me dekha he

mjhe nahee milay ho na dhoonday se kahee tum
aur phir ye tamasha he jahan ham hain wohee tum 

jab bajuz teray koi doosra maujood nahee
phir samjh me nahee aaata tera parda karna

haram o dehar me he, jalwa e pur fan tera
do gharoan ka he charagh qurkh e roshan tera?

jo ulfat me tumharee kho gaya he
usee khoey hue ko kuch mila he 
na bot khanay na kabay me mila he
magar tootay hue dil me mila he 
adam ban kar kahee tu chup gaya he
kahee tu hast ban kar aagaya he
nahee he tu to phir inkaar kesa
nafee bee tere honay ka pataa he
me jis ko keh raha hu apnee hastee 
agar wo tu nahee to aur kia he
nahee aaya khayaloan me agar tu
to phir me kesay samjha tu khuda he?

(heraan hoo is baat pe tum kon ho kia ho 
haath aao to but haath na aao to khuda ho )

aqal me jo ghir gaya laa intaha kyu kanr hua
jo samjh me aagaya phir wo khuda kyu kar hua 

falsafee ko behas k andar khuda milta nahee
doar ko suljha raha he or sira milta nahee

>pata yu to bata detay ho sab ko lamakaan apna
ta ajjub he magar rehtay ho tum tootay hue dil me

jab k tujh bin nahee koi maujood 
phir ye hangaama ae khuda kia he?

chuptay nahee ho samnay aataya nahee ho tum
jalwa dikha k jalwa dikhatay nahee ho tum
dehr o haram k dhajray mitay nahee ho tum
jo asal baat he wo batatay nahe eho tum
heraan hu mere dil me samaea ho kis tarah
halaan ke  do jahaan me samatay nahee ho tum
(ye maabad o haram ye kalaeesa o dehr kyu
harjaee ho jabee to batatay nahee ho tum )

dil pe herat ne ajab rang jama rakha he
aik uljhee hue tasweer bana rakha he
kuch samjh me nahee aata  k ye chakkar kia he
khel kia tum ne azal se ye racha rakha he
rooh ko jism k pinjray ka bana kar qedee
us pe phir maut ka pehra bee bitha rakha he
de k tadbeer k panchee ko uranain tumh ne 
dam e taqdeer me her samt bicha rakha he
kar k araeshain konain kee barsoan tum ne
khatm karnay ka bee mansooba bana rakha he
lamakanee ka bahar haal hal he daawa bee tumhain
nahno aqrab ka bhee paigham suna rakha he
ye buraee wo bhalaee ye jahannum wo bahisht
is ulat pher me farmao to kia rakha he
(»jurm aadam ne kia or saza baitoan ko 
adl o insaaf ka maiyaar bee kia rakha he)
de k insaan ko dunya me khilafat apnee 
aik tamasha sa zamany me bana rakha he
apnee pehchaan ke khaatir he banaya sab ko
sab kee nazroan se magar khud ko chupa rakha he 

nuqta e naqsh banatay ho mita detay ho 
janay kis jurm e tamanna ke saza detay ho 
kabee kankar ko bana detay ho heeray kee kanee
kabee heeroan ko bee mittee me mila detay ho 
zindagee kitnay hee murdoan ko ataa kee jis nay
wo maseeha bee saleeboan pe saja deta ho 
khahish e deed jo kar bethay sar e toor koi 
toor hee balkay tajalee se jala detay ho 
naar e namrood me dalwatay ho khud apna khaleel
khud hee phir  naar ko gulzaar bana deta ho
chah e kinaan me phenko kabee maahe kinaan 
norr yaqoob kee aankhon ka bujha deta ho
becho yusuf ko kabee misr k bazaroan me 
akhir e kaar shah e misr bana detay ho 
jazb o mastee kee jo manzil pe pohanchta he koi 
beth kar dil me anal haq ke sada detay ho 
khud he lagwatay ho phir kufr k fatway us per
khud hee mansoor ko soolee pe charha detay ho 
apnee hastee be wo aik roz ganwa bethta he
apnay darshan ke lagan jis ko laga detay ho
koi ranjha jo kabee khojnay niklay tum ko
tum usay jhand k bailay me rula detay ho?
justuju le k tumharee jo chalay qais koi
us ko majnoo kisi laila ka bana detay ho 
Jog sassee k agar man main tumharee jagay 
tum usay paktay hue tal me jala detay ho 
sohnee gar tum ko maheewaal tasawwur kar le
us ko biphree huee lehroan me baha detay ho
khud jo chaho to sar e arsh bula kar mehboob
aik hee raat me mairaaj kara detay ho 

aap hee apnaa parda ho 
tum aik gorakh dhanda ho 

(jo kehta hu maana tumhain lagta bura sa
phir bee he mjhe tum se bahar haal gila sa
chup chaap rahay dekhtay tum arsh e bareen per
taptay hue karbal me muhammad ka nawaasa
kis tarah dilata tha lahoo apna wafa ko 
khud 3 dino se wo agar chay tha piyaasa
dushman to bahar tor thay dushman magar afsos 
tum ne be faraham na kia panee zara sa
her zulm kee taufeeq he zaalim kee warasat
mazloom k hissay me tasalle na dilaasa
kal taaj saja dekha tha jis shakhs k sar per
hai aaj usee shakhs k haathoan me hee kaasa
ye kia he agar poochoo to kehtay ho jawaban 
is raaz se ho sakta nahee koi shanaasaa 

herat kee ik dunya ho 
tum ik gorakh dhanda ho

her ek jaa pe ho lekin pata nahee maloom 
tumhara naam suna he nishaan nahee maloom

dil se armaan nikal jae to jugnoo ho jae
aur aankhoan me simat ae to aansoo ho jae
ja ke yahoo ka jo be hoo karay hoo main kho kar
us ko sultaneeyan mil jaen wo bahoo ho jae
baal beeka na kisi ka ho churee k neechay
halq e asghar me kabee teer tarazo ho jae 

kis qadar beniaz ho tum be, dastan e daraz ho tum bee
tum aik gorakh dhanda ho 

(aah e tehqeeq me her gaam pe uljhan dekhoo 
wohee halaat o khayalaat me an ban dekhoo 
ban k reh jata hu tasweer pareshanee kee
ghor se jab be kabee dunya ka darpan dekhoo 
aik hee khaak pe fitrat ke tazadaat itnay 
kitnay hissoan me bata aik hee aangan dekho
kahee zehmat ke sulagtee hue pat jharr ka samaan
kahe erehmat k barastay hue saawan dekho
kahee phunkaar k darya, kahee khamosh pahaarh
kahee jangal , kahee sehra, kahee gulshan dekho 
khoon rulata he ye taqseem ka andaz mjhe
koi dhalwan yahan per koi nirbhan dekhoo
din k hathoan me faqat aik sulagta sooraj
raat kee maang sitaroan se muzayan dekhoo
kahee murjhae hue phool hain sachaee ke
or kahee jhoot k kaantoan pe bhee joban dekho
shams kee khal kahee khichtee nazr aatee he
kahee sarmad kee utartee hue gardan dekho
raat kia shay he sawera kia he
ye ujala ye andhera kia
me bee naeb hu tumhara aakhir
tum ye kehtay ho k tera kia he ?

tum aik gorakh dhanda ho

dekhnay wala tujhay kia dekhta 
tu ne her her rang se parda kia

Avoid[(masjid mandar, ye mai khanay, koi ye manay , koi wo maanay )
sab teray hain janaan kaashanay , koi ye maanay koi wo maanay 
aik honay ka teray qael he inkaar pe koi maael he 
asleeyat lekin tu janay, koi ye maanay koi wo maanay 

ik khalq me shaamil karta he , ik sab se akela rehta he
hain dono tere mastanay, koi ye manay koi wo manay 
X{ avoid}(sab hain jab aashiq tumharay naam ke 
?kyu ye jhagrray hain raheem o raam ke )]

dehr me tu haram me tu , arsh pe tu zameen pe tu
jis kee pohanch jahaan talk us k leai waheen pe tu 

her ik rang me yakta ho , 
tu aik gorakh dhanda ho 

markaz e justuju , aalam e rang o buu 
dam ba dam jalwa gar tu hee tu char soo
hoo k mahool me kuch nahe eilla hoo
tum buhat dil ruba tum bohat khoob roo
arsh kee azmatain farsh ke abroo 
tum ho konain ka haasil e arzoo
aankh ne kar lia aansoaan se wuzu
ab to kar do ataa deed ka ik suboo
aao parday se tum aankh k roo baroo
chand lamhay milan do gharee guftugu
naaz jabta phiray jabaja koo ba koo 
wahdahoo wahdahoo, lashareeka lahoo
Allahoo Allahoo, (8)
Allahoooo allahoo allahoooooooo   (8)






















No comments:

Post a Comment