agar allah walon se nahee dil kee dawa pata
bht mushkil tha apne nafs e sarkash ko dabaa paata
khuda kee sarkashee se khud kushee he maal o dolat main
kabee Allah waloan se nahee aisa sunaa jaata
sukoon e dil utarta he falak se ehl e taqwa per
bidoo hukm e khuda saaes da phir kesay paa jata??
agar petrol ke maanind hota ye sukoon e dil
zameen me kar k boring is ko her kaafi bhee paa jata
butoan ke ishq se dunya main her aashiq hua paagal
gunahoan se sukoon paata to kyu paagal kaha jaata
bacho ganday amal se amradoan se door ho jao
agar ye fail acha tha khuda pathar na barsata
nahee mumkin tha un kee raah main mera qadam rakhna
agar jazbay karam kee dil nahee koi sadaa paata
me thak jaata hu apnee daastan e dard se akhtar
magar me kia karoo chup bhee nahee mjh se raha jaata
No comments:
Post a Comment