zor shab ka nahee chalta he yahan shaam k baad
din nae dhab se nikalta he yahan shaam k baad
jis kee ek ek kiran per mah o khursheed nisar
wo diya bazm me jalta he yaha shaam k baad
gham k maray to saray shaam hee aa jatay hain
ranj khusheeyo me badalta he yahan shaam k baad
ishq e haq sheikh ko rakhta he jo be qalb e nira
ban k laawa wo ubalta he yaha shaam k baad
dalee jatee he nazar maalee kee her dalee per
her shajar phool ka phalta he yahan shaam ke baad
saat mulko ke iwaz bhee na me bechoon ...........
dard wo seenay me palta he yahaan shaam ke baad