Thursday, September 24, 2015

Aazmeen e hajj kp yoo hasrat se takta reh gaya

Aazmeena e hajj ko yoo hasrat se takta reh gaya
chal deai wo muskura kar me sisakta reh gaya

wo k jeetay jee rasaee paa gae manzil talak
aur me raah e takhayul me bhatakta reh gaya

rafta rafta zaeree rukhsat hue sab aur main
chupke chupke mislay bacho ke bilakta reh gaya

yaa to phir koo e haram chal ya to phir mulk e adam
jaan pharaktee reh gaee or dil dharakta reh gaya

keh gae zaaer karain hazree kee hum dua
aik jugnoo bar shabay teera chamakta reh gaya

baawujood e koshish e zabtay gham e hijraan asar
aap kee aankhoan ka paimana chalakta reh gaya


Hajj e bait ullah kee haasil saadat hogaee

Haasil saadat hogaeee……… 

Hajj e bait ullah kee haasil saadat ho gae 

Hazree e roza e sarkaar ka muxda mila
waqaeee maqbool kia apnee riazat ho gaee

ban gaya izn e huzooree zindagaanee ka sabab
ik mareez e hijr ko sad shukr sehat hogaee

janib e rehman se parwaana e bkhshish mila
nafs aur shaitan kee mehnat akaarat hogaee

hajj e baitullah ka shaami lsafar nama hua
zindaganee kee kahanee khubsurat hogaee

bhool betha apna ghar apni galee apna watan
jab se maula aaap ke ghar kee ziarat ho gaee

dil me baitullah kee azmat nigahoan me jalal 
jan mere waqf haibat mahw e heirat hogaee

zahir o baatan sanwar jaen to phir manzil milay
zahiran aur baitnan hasil to qurbat hogaee

sab ke sab hujjaj is per rashk kartay thay asar
jab kisi khush bakht kee kaaba main maeeyat hogaee


Thursday, September 17, 2015

jinhee milee ho zindagee me rehnumaee sheikh kee

jinhee milee ho zindagee me rehnumaee sheikh kee
wo goya apnay saath reh guzaar le k chaltay hain

in auliyaa ke boo e dil jahaan ko mast kartee he
jo apnay sath qalb e be karar le k chaltay hain

wo goya apnay........

khuda ka ishq  kis tarah chupa sakain ge ehlay dil
jab aankhoan me ye ishq ka khumar le k chaltay hain

hamara kia bigarain gee bhala khizaan kee aandheeyan
k hum to qalb e rashk e sad bahaar le k chaltay hain

wo kesay janain auliyaa kee zindagee  e javedaan
jo khud zameen pe zeest e musta aar le k chaltay hain

wo goyaa..

nazar bacha le k rakhtay hain haseeno se jo muttaqee
wo pehlooan me noor ka meenar le k chaltay hain

wo goya apnay sath….

jo ehlay dil kee majlisoan me beth tay hain roz o shab 
wahan se dil me qalb e pur bahaar le k chaltay hain




Thursday, September 3, 2015

murshid ke nazar


murshid ke nazar ghaz e basar se na hattee he
kia khush nazaree khush  nazaree khush nazaree hee

bus deeda o dil ko wo bachanay main he koshaan
kia deeda waree deeda waree deeda waree hee

dil torr k dil jorr dia sab ka khuda se
kia dil shikanee dil shikanee dil shikanee he 

Fussaaq ko ushaaq k alqaab dilae 
kia khush laqabee khush laqabee khush laqabee he

100 jaam dilatay hain wo aazee k iwaz main
kia jaan talabee jaan talabee jaan talabee he

kehtay bhee hain kam or kahay detay hain sab kuch
kia kam sukhanee kam sukhanee kam sukhanee he

so jaam mae haq k wo pee kar bhee kahain aur
kia tashna labee tashna labee tashna labee he

her aan watan yaad bee atay hain wo taeb

kia bewatanee bewatanee bewatanee