Wednesday, June 18, 2014

Tamanna muddato se he

تمنائے دل رسول اللہ تمنائے دل حبیب اللہ
تمنا مدتوں سے ہے جمال مصطفیٰ دیکهوں
امام الانبیاء دیکهوں حبیبِ کبریا دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ،  تمنائے دل حبیب اللہ

وہ جن کے دم قدم سے صبح نے روشنی پائی
ہوا میں جس سے عنبر کی فضا وہ رہنما دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

بلندی کا نظارہ گنبد خضری کی پستی میں
نظر نیچی کروں اور رفعتوں کا ارتقاء دیکهوں
میرا دلبر مدینے میں حیات جاوداں پا کر
حجاب نور میں مستور ہیں وہ دلربا دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

قدم باہر مدینے سے تصور میں مدینہ ہے
الہی یا الہی عظمتوں کی انتہا دیکهوں
یہ دنیا بے ثبات و بے وفا و غم کا گہوارہ
یہ ہے مطلوب دار بے وفائی میں وفا دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

تجلی اٹهہ گئی شعلہ بنی فاراں کی چوٹی سے
وہ جس کی روشنی پهیلی وہ شمع کبریا دیکهوں
وہ شان خلق دو عالم درود ان پر سلام ان پر
میرے مولا یہ موقع دے کہ ختم الانبیاء دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

برہنہ پا برہنہ سر چلوں اس شہر خوباں میں
قرار دل سکونِ روح زخموں کی دوا دیکهوں
کبھی ہو حسن کی محفل کبھی ہو شوق کا منظر
کبھی آنسو کی زنجیروں میں عاشق کی صدا دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

وہی ہے شافع محشر مراد ما حبیبِ ما
سکونِ قلب مضطر انبیاء کا مقتدا دیکهوں
در جنت پہ حاضر ہوں رسول پاک کے ہمراہ
شفاعت کا یہ منظر یا خدایا میں رضا دیکهوں
تمنائے دل رسول اللہ، تمنائے دل حبیب اللہ

Saturday, May 3, 2014

He Dunya Aj Kal Heraan Pareshaan Lyrics and Video


HD Anas Younus New Album #9 (Ghilaf e Kaba) - Hai Dunya Aaj Kal Weraan by Darsequran.com Official


Wait for urdu translation


he dunya aj kal heraan pareshan her taraf insan
banay hain log jiddat k nashay main aadatan haiwaan
paray hain log sub he nafso shaitaan kee ghulamee me
bhulatay hain khudae hukm tangee me farakhee me
khizaan chaaee gulistaan main gunaaho kee nahoosat se
jahaan phir hogaya khalee rawadaaree akhoo wat se
mukhaalif ho gae insaan sab baaham zamany main
lagee he dorr buss her ek kee dunyaa kamanay main
bulata he muazzin jab falaah o kher kee jaanib
nazar atee he sustee phir tabeeyat per bohut ghaalib
ghareeboo ka jo haq laazim tha sub khushaal logo per
urratay hain wo sab naqdee zamanay bhar k khelo per
saja kr rakh dia quran bhee hum ne ghilaafo main
hadeesain reh gaee hain band kapray k lifaafo main
milaawat jhoot dhoka he zabaano per dukaano main
jo banday mann k sachay thay wo bus reh gae fasaano main
jo aurat thee kabii izzat musalmano k ghar ghar kee
bohut ban than k thokar kha rahee he aaj dar dar kee
chupaya tha kabi chehra shareeyat k biqaabo se
wo hastee rooth tee he ab haya walay hijaaboan se
musalmano k dil bhee aaj gaano se behaltay hain
zubaano per unhee ko gungunaatay wo tehaltay hain
Na izzat baap kee koi na dil me maan ka darja he
jawaan aulaad per ab bojh un dono ka kharcha he
ye bad aamaaleeyan ALLAH ko bezaar karti hain
zameenee aafatain hain phir hamain bedaar karti hain
tarastay sub jo rehtay hain hamesha dil kee raahat ko
ye her lamha jo sehtay hain zameen per qatlo gharat ko
mehangaee ko ye toofaan jo aaya he dunya hain
jo apni zindagee se tang hain insaan dunyaa main
khudaa ko kar dya naraaz kyu jis kee hukoomat he
ye sub ham per buray amaal hee kee to nahoosat he
jo dooree rab se ho jae jahannum phir thikaana he
khudaa kee ho raza to dono aalam ka khazana he
magar rab kee muhabbat me bhee apni shaan yakta he
wo bakhshish k leai bando ke har dam raah takta he
bohat saray bahano se muaafee aam deta he
wo taaeb honay walo ko lapak ker thaam leta he
aray tum ko mubarak ho k ramzaan paa liya tum ne
yahee he kher ka mambaa jisay phir jaa liya tum ne
maheena he ye wo jis  main shayaateen qaid hotay hain
wo bando k palat janay se apna chain khotay hain
hua quran bhee naazil isee maahay muqaddas main
hidaayat aam he rab kee inhee aayaat e aqdas main
milee thee fath e makka bhee musalmano ko ramzaa main
Jisay fathay mubeen kehta he khud battaaan quran main
he qeemat farz k jaisee nafal kee is maheenay main
ataaen hain wafaen hain mere rab k khazanay main
adaa ik farz karne per ajar sattar 70 ka milta he
amal ka beej lagtay hee ajar ka phool khilta he
farishto ka jahannum per bhii pehra sakht hota he
jisay phir maut aae wo bohut khush bakht hota he
inhee ayyaaam me her roz jannat ko sajatay hain
humaree muntzir hooroon ko nehkaa kar bithatay hain
kushaada rizq ho jata he is maah e muazzam main
zameen per barkatain aatee hain is mahay mukarram main
saha se shaam tak banday jo apni bhook sehtay hain
ye apni in wafao se khuda ko jeet letay hain
jo piyaasay halq bhookay pait rab kee yaad aatee he
adaa qurbaneyo kee kis qadar ye rab ko bhaatee he
ye roza rakhna banda ko bohut mehboob he rab ko
k un ke moon kee badboo mushk se marghoob he rab ko
he ek hathyar ye roza gunaaho se hifazat ka
zareeya ye bhee he ek nafs ke sharr se baghaawat ka
chalo ab aagaya mausam ye naikee kee bahaaroan ka
milay ga ek naikee per tumhain badla paharoan ka
munadee aasmaan ka roz ek elaan karta he
sawalee koi he to aae rab faizaan karta he
agar tum maghfirat chaho to bhar lo aa k jholee main
jo chahay mang le her ek insaan apni bolee main
ye pehla ashra he ramzan ka rehmat barasnay ka
sabhee mehroomeyaan zaael, gaya ab din tarasnay ka
maafee mang lain her ek apne sab gunaho se
jo mujrim toba kr le wo nahee girta nigaahoan se
he is ka doosra ashraa khuda ke maghfirat wala
bohut hee khoob rab ka faisla he maslihat wala
umoomee maghfirat se khoob sab ka dil lubhaatay hain
jahannum se khalasee roz he dus lakh patay hain
malak aameen kehtay hain hamaree sub duaaon per
tarana maghfirat ka he parindo kee zubaano per
jahannum se baraa at ka he phir wo aakhree ashra
bujha de gaa jahannum ko faqat aansoo ka ek qatra
isee maahay muqaddas me suno ek raat he aise
nahee paee kise ummat ne phle raat is jaisee
he 80 saal kee khalis ibadat se ye shab afzal
jo naaqadray hain is shab ke hain apni aqal se paidal
isee shab kee ibadat per kiya waada he janaat ka
wohee to ghar he momin ka wohee maskan he lazzat ka
farishtay bhee utartay aasman se hain qataaroan main
chamak is raat barrh jatee he nooranee sitaroan main
shabay aakhir be laatee he ye phir ramzaan kee tuhfaa
khuda deta he is main darguzar ka qeemtee hadyaa
samandar maghfirat ka rab jo poora maah bahaata he
baraabar us k majmooai k aakhir shab barhata he
ye ek moqa jo aaya he muaafee mang lenay ka
yahee he waqt nafarmaneeyo pe khoob ronay ka
sureelay dhang se ramzaan me quran ko parhna
dua me khoob apnay rab se tum sargosheeya karna
taraweeh me kharay ho kr khatam quran ka karna
isi ko parh k janaat k sabhee darjo pe tum charhna
tumhara nafs behka kar tumhain maghroor na kr de
kaheen iblees ka sathee tumhain majboor na kr de
zarooree he hifaazat apnay sab aamaal kee karna
namazin parhna rozay rakhna paak eeman kee karna
guzaro zindagee puree ye aaqa kee itaa at main
jaga phir tum bhee paa lo ge Muhammad(SAW) ke shafaa at me
bachana apna roza tum zamaan ke sharr o aafat se
kisi se baat jo kar lo to narmee se sharafat se
lajaajat khoob kar lo apnay rab se is maheenay main
safar ho zindagee ka puura islamee safeenay main
muhaafiz tum hamesha gar rahay apnee namazo ke
munaazir khud he dekh lo ge barkat k ataaon ke
agar tum seekh na pae hukam ko maan kar chlna
to phir yoonhee masaaib ke dehaktee aag main jalna
rahain ge aise hee halaat dunya me tabahee ke
ghareeb hotay rahain ge din ba din insaan kharaabee ke
ilahee naam shamil kar hamara khush naseebo main
hamara naam bhee likh de tu janaat ke makeeno main
hamain azaad kr de tu jahannum ke haraarat se
bacha le hum ko bee tu nafs o shaitaan ke sharaarat se
tu de day martaba apne yaha maqbool bandoan ka
ujalaay se badal andher tu benoor qabroan ka
agar tu chaah le ya rab sudhar haalaat jaen ge
ye bad amnee khatam ho hgee ye banday chain paaen ge
karoroan rehmatain nazil ilaahe mustafa per kar
salamoan kee bhee barish tu muhammad mujtaba per kar
jaga de tu ilahee is mubarak maah se ghaafil ko
ataa kar maghfirat puuree anas ko or raahil ko

Sall ALLAHO Alaehay Jalla Jalalahoo



Thursday, May 1, 2014

Ishq k Rang Me Rang Jao Mere Yar


ISHQ K RANG ME RANG JAO MERE YAR

Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar 
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har khaar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 
Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar 
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa guharbaar .Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani o Arabi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar 



Wednesday, April 30, 2014

Aaqa Tere Aanay Se


Anas Younus - "Aaqa Teray Aanay Say" - Naat 2 by Darsequran.com Official


aaqa teray anay se rang badla zamanay ka
aaqa teray anay se rang badla zamany ka

haibat se gira teree har but but khanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqa tere.........................................

taptee huee raitoon per parhay kalma bilal tera
andaaz nirala he teray her parwanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aqaa.................................................

jis jis ko pilaee he meray aaqa ne haatho se!!
wo bhool gaya rasta har ik maikhanay kaa

aqaa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqaa.......................................................


shah kaar he qudrat ka tera husn meray aaqa!
husn e yousaf he sadqa Aaqa tere khazanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamany ka
aaqa..............................................

tu choom le talyoan ko kaafooree hontoan se
khud rab ne sikhaya he andaz jaganay ka!!

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqaa..........................................

mehboob na gham karna sar-e-hashr tu ummat ka
mehshar to Bahaana he tere shaan dikhaanay ka!!

aaqaa tere aanay se rang badla zamanay ka
aaqa..........................................................

jis ko bhi mila tukrra hasnain ke naana se
mangta wo bana Saael sultan zamanay ka!!

Aaqa tere aanay se rang badla zamany ka
aaqa................................................






Tuesday, April 29, 2014

Aa Dil Main Tjhe Rakh Loo


a dil me tujhe rakh lon shehbaz by Shafi majzoob

Source Video



Bekhud kiye dete hain andaaz hijaabana...
Aa dil mein tujhe rakh lun ay jalwa e janana!!!

Itna to karam karna ay Nargis e mastana...
Jab jaan laboon par ho tum samnay aa jaana!!!


Jis ja the dekhu me sajday wahee karta huu
Is se nahee kuch mtlab kaba ho ya but khana



Ji chahta hai tohfe mein bhejun me unhein ankhein...
Darshan k todarshan hoan nazrane ka nazrana!!!

Mein hosh o hawaas apne is baat pe kho betha...
Hans kar jo kaha tu ne aaya mera deewaana!!!

Dunya mein jab tu ne mujhe apna banaya hai...
Mehshar mein bhi keh dena ye hai deewaana!!!

Kyun aankh milayi thi kyun aag lagaithi...
Ab rukh ko chupa bethe karke mujhe deewaana!!!


Peene ko to pee lunga per shart zara si hai...
Ajmer ka saaqi ho baghdaad ka mekhaana!!!

Bedum meri qismat mein sajday hain isi dar k...
Choota hai na chootay ga sang e dare janana!!!




tere ishq ke inteha


Junaid Jamshed Album #4 Ae Mere Allah by Darsequran.com Official


Source Video

"Parvana Aik Pathanga
Jugnoo Bhi Aik Pathanga 
Wo Roshni Ka Talib
Ye Roshni Sarapa"

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad 
Madad Aye Mere Allah
Aye Mere Allah

Tere Ishk Ki Intihaan Chahtahu
Meri Sadgi Daikh Kya Chahtahu
Sitam Ho Ke Ho Bada'e Bae Hijabi
Koi Bath Sab Razmaan Chahtahu

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad aye mere Allah

Madad Madad Madad 
Madad Madad Madad 
Madad Aye Mere Allah
Aye Mere Allah

Zara Sath-o-Dil Hoon Magar Shokh Itna
Wohi Lantharani Sunna Chahtahu
Yai Jannat Mubarak Rahai Zahidon Ko
Kai Mai Aap Ka Samna Chahtahu

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah
Aye Mere Allah

Bhari Baazma Main Raaz Ki Baath Kehdi
Bara Bae Adab Hoon Saza Chahtahu
Koi Dham Ka Mahal Mahuai Ahl-e-Mahfil
Charab-e-Sahar Hoon Bujaa Chahtahu

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

Madad Madad Madad
Madad Madad Madad
Madad Aye Mere Allah

ae nabi jee ho karam kee ek nazar hum per lyrics

dil e murda dil nahee he
usay zinda kar dobara
k yehee he umatoan ke marz e kahan ka chaara

ae nabi gee, (3) ho karam ki ek nazar hum per
ae nabi gee muntazir he ye dil e muztar

 noor e rehmat se hoan roshan sab hamare ghar
ae nabi gee ho karam ki ek nazar hum per
ae nabi gee muntazar he ye dil e muztar


pyare ho tum Allah ke
sab per khula bab e ataa
dushman ko bhi jo de dua
wo he mera aaqa!!

noor e rehmat se hoan roshan sub hamare ghar
ae nabi gee ho karam ki ek nazar hum per
ae nabee g muntazar he ye dil e muztar



jis ko milay ye mojzay
ek chand ko jo do kare
or guftugoo pathar kray
bola tha wo be zubaan

noor e rehmat se ho roshan sab hamare ghar
ae nabee gee ho karam ki ek nazar ham per

ek nazar hum per!

aaqa ho tum sarwar ho tum
hain ummatee ahlay khata
haadee ho tum
rehbar ho tum
sab se baray ho rehnoma

noor e rehmat se hoan roshan sab hamare ghar
ae nabee gee ho karam ki ek nazar hum per
ae nabee gee muntazar he ye dile muztar he



Lyrics By: Shafi Majzoob

Ilahee teri chowkhat per


ilahi teri chaukhat by junaid jamshed by wanted36

Zahir ki ankh se na tamasha kare koi,
Ho dekhna to deeda-e-dil wah kare koi,
Parh bethay kiya samajh ker bhala toor per kaleem
Takkat ho deed ki to taqaza kare koi
Ilahi teri chokhat per bhikari ban ker aya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Bhikari woh ke jis ke paas jholi hai na payala hai,
Bhikari woh jisey hiras-o-hawas nay maar dala hai,
Mata-e-deen-o-danish, nafs ke hathon se lutwa ker.
Sakoon-e-qalb ki daulat hawas ki bhent charha ker,
Lutta ker sari poonji ghaflat-o-issyan ki daldal mein,
Sahara lene aya hoon tere kaabay ke aanchal mein,
Gunahon ki lipatt sey, kaynat-e-qalb afsurda,
Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda,
Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki,
Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki.
Khulasa yeh ke bus jull bhun ker apni roo-sayahi sey,
Sarapa faqr ban ker apni haalat ki tabahi sey,
Tere darbar mein laya hoon apni ab zaboon-haali,
Teri chokhat ke laeq har amal se hath hein khali,
Yeh Tera ghar hai ye Tere mehr ka darbar hai Maula
Sarapa noor hai, ik mohbat-e-anwaar hai Mola.
Teri chokhat ke jo adab hein, main unn se khali hoon,
Nahi jis ko saleeqa manganey ka, woh sawali hoon
Zuban ghalt-e-nadamat dil ki na’kas tarjumani per,
Khudaya reham meri iss zaban-e-ijz-zabani per,
Ye ankhein khushk hein, Ya Rabb inhein rona nahi aata,
Sulagtay daagh hein dil mein jinhein dhona nahi aata.
Ilahi teri chokhat per bhikari ban kay aaya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon,
Sarapa faqr hoon, ijz-o-nadamat saath laya hoon.
Lyrics & Video Information:
Artist: Junaid Jamshed
Video Title: Multazim Par
Kalaam By: Mufti Taqi Usmani
Album: Jawa-e-Janaan

Lyrics:  Shafi Majzoob