Aazmeena e hajj ko yoo hasrat se takta reh gaya
chal deai wo muskura kar me sisakta reh gaya
wo k jeetay jee rasaee paa gae manzil talak
aur me raah e takhayul me bhatakta reh gaya
rafta rafta zaeree rukhsat hue sab aur main
chupke chupke mislay bacho ke bilakta reh gaya
yaa to phir koo e haram chal ya to phir mulk e adam
jaan pharaktee reh gaee or dil dharakta reh gaya
keh gae zaaer karain hazree kee hum dua
aik jugnoo bar shabay teera chamakta reh gaya
baawujood e koshish e zabtay gham e hijraan asar
aap kee aankhoan ka paimana chalakta reh gaya