Thursday, April 28, 2016

Ae mere mabood e barhaq

ae mere maabood barhaq ae mere parwardigaar
tere azmat ke tasadduq teree rehmat k nisaar

tu hee he daana wo beena karsaaz o rozgaar
meree haalat jo bhee tujh per pe he wo aashkarr


tu agar chahay to zarray ko bana de aaftaab
tu jo chahay to samandar ko sama de dar habaab
tu to he mehboob tera her karishma be hijaab
inteha teree inayat k na bakhshish ka hisaab


teree haibat se laraztay hain zameen o asmaan
tere azmat per he saajid kul malaek ins o jaan 
zarra zarra se teree takhleeq hote he ayaan
ae sameeon ae aleemum ae reheemun mehrban

tere ik adnaa isharay se banee kul kaenaat
kun kaha tu ne mukammal ho gaee her ik baat
tu he lasanee tu  he be misl tere kul siffaat
bartar o baal a o aala he ilahee teree zaat

tere jalwo se he roshan anjam e shams o qamar
he tajalee se teree bazm e do aalam jalwa gar
maalike kon o makaan ae khaliq e jinno bashar
ibtida janay na tere inteha koi magar

dast e qudrat me he tere saray aalam ka nizaam 
he shehanshahee tujhee ko zaib sab tere ghulaam 
aasra taktay hain tera hee jo bigray koi kaam
bekas o nashaad hoo mjh ko bhee kar de shaad gaam

teray mumkin ko na koi gher mumkin kar sakay
gher mumkin jis ko kar de kon usay mumkin kare
aajiz o mehkoom he dono jahan agay tere
multajee he gul bhee ae ghaffar bakhshish ke leai


No comments:

Post a Comment