Thursday, October 1, 2015

Ham ghareebo ka wo Gham Gusaar Aagay


hum ghareeboo ka wo gham gusaar aagaya
tajdaar agaaya shaahkaar agaya

yanee mehboob e parwardegaar agayaa 
gham gusaar agayaa

phool ne muskura k chaman se kaha 
ye chaman se kaha 

aaj gulshan me taza bahar agaya 
gham gusaar agaya 

jis k aagay jhukay tajdaro k  sir 
sab rasoolo ka wo tajdaar agay , ghum gusaar agaya

jab kisi ne kaha tera sarwar he kon
tera rehbar he kon

lab pe naam e nabee baar baar agaya 
ghum gusaar agaya

aankh pur nam hue dil machalnay laga
yad jab bhee nabee ka mazar agay 

ghum gusaar,  

kufr gharoan me moon ko chupanay laga
moon chupanay laga (2)

dehr main jab wo naaqa sawar aagaya

ghum gusaar agay …

jis taraf chal dia wo shahay dee hasham 
naimatain baant taa beshumar aagaya 

ghum gusaar agay

phhol khilnay lagay  bhanwray gaanay lagay
ae asad kul jahan ka qarar aagaya 

ghum gusaar aagaya


Thursday, September 24, 2015

Aazmeen e hajj kp yoo hasrat se takta reh gaya

Aazmeena e hajj ko yoo hasrat se takta reh gaya
chal deai wo muskura kar me sisakta reh gaya

wo k jeetay jee rasaee paa gae manzil talak
aur me raah e takhayul me bhatakta reh gaya

rafta rafta zaeree rukhsat hue sab aur main
chupke chupke mislay bacho ke bilakta reh gaya

yaa to phir koo e haram chal ya to phir mulk e adam
jaan pharaktee reh gaee or dil dharakta reh gaya

keh gae zaaer karain hazree kee hum dua
aik jugnoo bar shabay teera chamakta reh gaya

baawujood e koshish e zabtay gham e hijraan asar
aap kee aankhoan ka paimana chalakta reh gaya


Hajj e bait ullah kee haasil saadat hogaee

Haasil saadat hogaeee……… 

Hajj e bait ullah kee haasil saadat ho gae 

Hazree e roza e sarkaar ka muxda mila
waqaeee maqbool kia apnee riazat ho gaee

ban gaya izn e huzooree zindagaanee ka sabab
ik mareez e hijr ko sad shukr sehat hogaee

janib e rehman se parwaana e bkhshish mila
nafs aur shaitan kee mehnat akaarat hogaee

hajj e baitullah ka shaami lsafar nama hua
zindaganee kee kahanee khubsurat hogaee

bhool betha apna ghar apni galee apna watan
jab se maula aaap ke ghar kee ziarat ho gaee

dil me baitullah kee azmat nigahoan me jalal 
jan mere waqf haibat mahw e heirat hogaee

zahir o baatan sanwar jaen to phir manzil milay
zahiran aur baitnan hasil to qurbat hogaee

sab ke sab hujjaj is per rashk kartay thay asar
jab kisi khush bakht kee kaaba main maeeyat hogaee


Thursday, September 17, 2015

jinhee milee ho zindagee me rehnumaee sheikh kee

jinhee milee ho zindagee me rehnumaee sheikh kee
wo goya apnay saath reh guzaar le k chaltay hain

in auliyaa ke boo e dil jahaan ko mast kartee he
jo apnay sath qalb e be karar le k chaltay hain

wo goya apnay........

khuda ka ishq  kis tarah chupa sakain ge ehlay dil
jab aankhoan me ye ishq ka khumar le k chaltay hain

hamara kia bigarain gee bhala khizaan kee aandheeyan
k hum to qalb e rashk e sad bahaar le k chaltay hain

wo kesay janain auliyaa kee zindagee  e javedaan
jo khud zameen pe zeest e musta aar le k chaltay hain

wo goyaa..

nazar bacha le k rakhtay hain haseeno se jo muttaqee
wo pehlooan me noor ka meenar le k chaltay hain

wo goya apnay sath….

jo ehlay dil kee majlisoan me beth tay hain roz o shab 
wahan se dil me qalb e pur bahaar le k chaltay hain




Thursday, September 3, 2015

murshid ke nazar


murshid ke nazar ghaz e basar se na hattee he
kia khush nazaree khush  nazaree khush nazaree hee

bus deeda o dil ko wo bachanay main he koshaan
kia deeda waree deeda waree deeda waree hee

dil torr k dil jorr dia sab ka khuda se
kia dil shikanee dil shikanee dil shikanee he 

Fussaaq ko ushaaq k alqaab dilae 
kia khush laqabee khush laqabee khush laqabee he

100 jaam dilatay hain wo aazee k iwaz main
kia jaan talabee jaan talabee jaan talabee he

kehtay bhee hain kam or kahay detay hain sab kuch
kia kam sukhanee kam sukhanee kam sukhanee he

so jaam mae haq k wo pee kar bhee kahain aur
kia tashna labee tashna labee tashna labee he

her aan watan yaad bee atay hain wo taeb

kia bewatanee bewatanee bewatanee

Thursday, August 27, 2015

chalo madeenay chaltay hain

chalo madeenay chaltay hain chalo madeenay chaltay hain
chalo chalo chalo chalo na chalo madeenay ....

chalo dayar e nabi kee janib durood lab per saja saja kar
bahar lootain ge hum karam kee  (2), dilo ko daman bana bana kar

chalo .....

na un ke jaisa sakhee he koi na un k jaisa ghanee he koi
wo benawaaon ko her jaga se (3)  nawaztay hain bula bula kar

chalo....

me wo nikamma hu jis kee jholee me koi husn e amal nahee he
magar wo ehsan kar rahay hain khatain mere chupa chupa kar

chalo......

agar muqaddar ne yawaree kee agar madeenay gaya me majzoob
qadam qadam khaak us galee kee (3)  me choom loon ga uttha uttha kar

chalo.........





sallay alaa

sallay alaa nabeeyina sallay alaa muhammadin  (2)
sallay alaa shafeeinaa sallay alaa muhammadin

salle alaaa.....

her din yoonhee guzray mera un kee naat bananay main
her shab yoonhee beetay meree un kee naat sunanay main

sallay allaaa.....