Thursday, May 14, 2015

Mujh ko jeenay ka sahaara chaheai


mujh ko jeenay ka sahaara chaheeai 
ghum tumhara dil humara chaheai 

behr e ulfat ka kinara chaheai 
sar hamara dar tumhara chaheai

mjh ko jeenay ka sahara………

ghum me bas on ko pukara chaheai
un ke hotay kia sahara chaheai

gham tumhara dil hamara……

lazzat e faryaad toofanoan main he
kon kehta he kinara chaheai

sar hamara dar tumhara…..

apnee aahoan se dar e jana pe meer
apnee bigree ko sanwaara chaheai

sar humara dar tumhara ….

haasil e saahil mjhe toofan me he
tere jalwoan ka nazara chaheai

aap per her dam fida ho meree jaan
(Ap ka muj ko ishara chaheai )
gher kee mujh ko na parwa chaheai

sar  hamara dar tumhara…….

akhtar e khasta o door aftaada ko

un kee rahmat ka bulawa chaheai 

No comments:

Post a Comment