illAllah kee sharab nazar se pila dia
me ek gunaah gaar tha suufi bana dia
soorat me meray aagaee soorat faqeer ke
ye nazar meray peer kee ye nazar meray peer kee
thaama he mene peer k daaman ko umr bhar
rakhta he mera peer mureedoan kee sab khabar
wo shakhs zindagee main bigarta nahee kabee
jis shakhs per paree he mere peer kee nazar
ye nazar mere peer kee…………
ehlay kamal peer ka dar choomnay lagay
manzar muraqbay me kaee ghoomnay lagay
dalee jo meray peer ne bharpoor ek nazar
Mulla kitabain chorr k sab jhoomnay lagay
ye nazar mere.
thak jatee he hayaat me taqdeer kee nazar
wallah he tawaaf me taqdeer kee nazar
haalaan ke k sab mureed to roshan zameer hain
lekin samajh saka na koi peer kee nazar
ye nazar mere peer kee,,
maanga tha aik qatra samandar dikha dia
jo bee na tha naseeb main wo dar dikha dia
oncha he aisa zarf e nazar mere peer ka
arsh e bareen ka peer ne manzar dikha dia
ye nazar mere peer kee……
majzoob ko sukoon he k weerana mil gaya
saalik ko zoq shoq ka paemana mil gaya
thee hashmee sharaab kee muddat se arzoo
nazroan me mere peer k maikhana mil gaya
ye nazar mere peer keee….
Allahoo kee sharab pilaee he peer ne
roshan kia zameer ko roshan zameer ne
main hoon mureed mujh pe na daalo nazar ghalat
mujh per nazar uthae he kaamil faqeer ne
ye nazar mere peer kee…
dunya kee khahishoan se bohat door hogaya
gumnaam zindaganee thee mashoor hogaya
lakhoan sharab khanay mere peer per fidaa
jab peer se nazar milee makhmoor hogaya
ye nazar mere peer kee
gardish ka waqt aik hee lamhay me tal gaya
jab naam e peer meree zubaan se nikal gaya
Allah re ye martaba sarkaar ka meray
jumbish huee nazar kee zamana badal gaya
ye nazar mere…
Allah k faqeeroan se larnay nahee detee
Halaat e zindaganee bigarnay nahee detee
Alah paak rakhay nazar mere peer kee
ye jis ko banatee he ujarnay nahee detee
ye nazar mere peer kee…..
hasrat se dekhtee he mere zindagee mjhe
kia kia dikha rahee he mere aashqee mjhe
honay lagee he arsh e bareen kee mujhay khabar
ye peer kee nazar he kahan le gaee mjhee
ye nazar mere peer kee….
murshid kee aag seenay main aathoan pehar rahee
her khahishe zaman mjhe be asar rahee
ehsana he ye peer kee nisbat ka dostoan
Achay buray me peer kee mujh per nazar rahee
ye nazar mere peer kee…
kia me ne khoay paaya mujhe kuch khabar nahee
dunya me dunyadaree ka mujh per asar nahee
mera wajood e khak ye kehta he jhoom ke
murshid ke jesee aur kisi kee nazar nahee
ye nazar mere peer kee
nazar nazar nazar nazar,,,,,,
mere zubaan rooh mera dil he ba asar
mujh ko nahee he naar e jahannum ka kuch bee darr
do (2) ungleeyo k beech me aaya nazar falak
jab pehlee baar peer kee mujh per paree nazar
ye nazar mere peer kee……..
sarkar e tasawwuf hai mere dil me jalwa gar
me khush naseeb hu k mila mustafa ka dar
murshid ke laaj ho k zamana guzar gaya
kaam ab bee aa rahee he mere peer kee nazar
ye nazar mere peer…..
her ek mureed murshid e kaamil ka taajwar
darwesh huu nazar me faqeerana he asar
bhatee nahee he koi nazar sarfaraz ko
mjh me sama gaee he mere peer kee nazar.
ye nazar mere peer kee……
No comments:
Post a Comment