Thursday, March 17, 2016

naatain sarkaar kee

naatain sarkar kee parhta hu main
bas isee baat se ghar me mere rehmat hogee

ik tera naam waseela he mera
ranj o gham me bhee isee naam se raahat hogee

ye suna he k bohat goar andheree hogee
qabr ka khauf na rakhna ae dil 
waha sarkar k chehray kee ziarat hogee

kabee yaseen kabhi taaha kabhe wallael aaya
jis kee qasmain mere rab khaata he
kitnee dilkash mere mehboob kee soorat hogee

hashar ka din bhee ajab dekhnay wala hoga
zulf lehraa k wo jab aen ge
phir qayamat me bhe aik aur qayamat hogee

unko mukhtar banaya he mere Allah ne
khuld me bas wohee jaa sakta he
jis ko hasnain ke naana kee ijazat hogee

do jahaan main usay phir kaun panaah me le ga
hoga ruswa saray hashar jisay
syeda zahra k bacho se adaawat hogee

un kee chowkhat pe parray hain to baree moaj main main hain
loat ke aaen ge jab us dar se
mere dil tu hee bata kia tere haalat hogee

rashk se door kharay dekhtay hoan ge zaahid
jab saray hashar gunah garoan per
mere aaqa ka karam hoga inayat hogee

mera daaman to gunahoan se bhara he altaaf
ik sahaara he ke hum tere hain 
isee nisbat se saray hashar shafaat hogee


No comments:

Post a Comment