Thursday, October 22, 2015

Jab Main Kahoon Muhammad - Junaid Jamshed Lyrics

Jab main kahoo Muhammad Sallay alaa kaho tum
Khaer ul bashar kahu me khaer ul waraa kaho tum

jab me kahoo Muhammad….

Aashob e zindagee main taskeen e dil kee khatir
roo e nabee kahuu main shanay khuda kaho tum

khaerl bashar…..
jab me kahuu Muhammad….

wo rashk e ambeeya hain wo fakhre auliya hain
wo rooh e kun fukaan hain wo jan e do jahan hain
jalwa figan kahoo main jalwa numa kaho tum

khaer ul bashar kahoo…….
jab me kahoo Muhammad….

kis husn k hain jalway din raat k ujalay 
shamsul duha kahoo main badrud duja kaho tum

khaeerul bashar ……

jab Me kahoo Muhammad…..

Thursday, October 15, 2015

zaahir me ehl e dil hain go hasrat leai hue

zaahir me ehl e dil hain go hasrat leai hue
baatin magar he dolat e nisbat leai hue

maana k meer gulshan e jannat to door he
aarif hain dil me khaaliq e jannat leai hue

sehra me kabhee or kabhee daman me koh ke
phirta hu dil me dard e muhabbat leai hue

ik qalb e shikasta k aur aah o fughan k sath
main chal raha mash-al e sunnat leai hue 

roo e zameen pe jo bhee he ehd e wafa k sath
wo her nafas he saya e rehmat leai hue

apnay to kia hain gher bhee karta he ehtiraam
chehray pe jo he darrhee kee zeenat leai hue

ik meer e khasta haal bhee akhtar k sath he

guzray he khoob ishq ke lazzat leai hue

Thursday, October 1, 2015

Ham ghareebo ka wo Gham Gusaar Aagay


hum ghareeboo ka wo gham gusaar aagaya
tajdaar agaaya shaahkaar agaya

yanee mehboob e parwardegaar agayaa 
gham gusaar agayaa

phool ne muskura k chaman se kaha 
ye chaman se kaha 

aaj gulshan me taza bahar agaya 
gham gusaar agaya 

jis k aagay jhukay tajdaro k  sir 
sab rasoolo ka wo tajdaar agay , ghum gusaar agaya

jab kisi ne kaha tera sarwar he kon
tera rehbar he kon

lab pe naam e nabee baar baar agaya 
ghum gusaar agaya

aankh pur nam hue dil machalnay laga
yad jab bhee nabee ka mazar agay 

ghum gusaar,  

kufr gharoan me moon ko chupanay laga
moon chupanay laga (2)

dehr main jab wo naaqa sawar aagaya

ghum gusaar agay …

jis taraf chal dia wo shahay dee hasham 
naimatain baant taa beshumar aagaya 

ghum gusaar agay

phhol khilnay lagay  bhanwray gaanay lagay
ae asad kul jahan ka qarar aagaya 

ghum gusaar aagaya