Thursday, August 6, 2015

kisi gham gusaar kee mehnato ka ye khoob me ne sila dia




kisi gham gusaar kee mehnato ka ye khoob main ne sila dia
k jo meray ghum me ghula kia usay me ne dil se bhula dia

jo jamalay roohay hayaat tha jo daleelay rah e nijaat tha
usee raahbar ke naqoosh e paa ko musafiro ne mitaa dia

me teray mazaar kee jaleeyoan he ke midhatoan me magan raha
tere dushmano ne tere chaman me khizaan ka jaal bicha dia

teray husn e khulq ke ik ramaq meree zindagee main na mil sakee
me isee main khush huu k shehr k dar o baam ko sajaa dia

teray saur o badr ke baab ke me waraq ulatt guzar gaya
mujhe sirf teree riwayatoan kee hikayatoan ne maza dia

ye meree aqeedat e bebasar ye mere riazat e be hunar
mujhe meray daawa e ishq ne na sanam dia na khuda diaa

tera naqsh e paak ka raahnuma to ghubar e raah ke kehkashaan
usay kho dia to zamany bhar ne hamain nazar se gira dia

kabi ae inayat e kamnazar teray dil me ye bhee kasak huee?
jo tabassum e rooh e zeest tha usay teray gham ne rula dia


No comments:

Post a Comment