Saturday, May 3, 2014

He Dunya Aj Kal Heraan Pareshaan Lyrics and Video


HD Anas Younus New Album #9 (Ghilaf e Kaba) - Hai Dunya Aaj Kal Weraan by Darsequran.com Official


Wait for urdu translation


he dunya aj kal heraan pareshan her taraf insan
banay hain log jiddat k nashay main aadatan haiwaan
paray hain log sub he nafso shaitaan kee ghulamee me
bhulatay hain khudae hukm tangee me farakhee me
khizaan chaaee gulistaan main gunaaho kee nahoosat se
jahaan phir hogaya khalee rawadaaree akhoo wat se
mukhaalif ho gae insaan sab baaham zamany main
lagee he dorr buss her ek kee dunyaa kamanay main
bulata he muazzin jab falaah o kher kee jaanib
nazar atee he sustee phir tabeeyat per bohut ghaalib
ghareeboo ka jo haq laazim tha sub khushaal logo per
urratay hain wo sab naqdee zamanay bhar k khelo per
saja kr rakh dia quran bhee hum ne ghilaafo main
hadeesain reh gaee hain band kapray k lifaafo main
milaawat jhoot dhoka he zabaano per dukaano main
jo banday mann k sachay thay wo bus reh gae fasaano main
jo aurat thee kabii izzat musalmano k ghar ghar kee
bohut ban than k thokar kha rahee he aaj dar dar kee
chupaya tha kabi chehra shareeyat k biqaabo se
wo hastee rooth tee he ab haya walay hijaaboan se
musalmano k dil bhee aaj gaano se behaltay hain
zubaano per unhee ko gungunaatay wo tehaltay hain
Na izzat baap kee koi na dil me maan ka darja he
jawaan aulaad per ab bojh un dono ka kharcha he
ye bad aamaaleeyan ALLAH ko bezaar karti hain
zameenee aafatain hain phir hamain bedaar karti hain
tarastay sub jo rehtay hain hamesha dil kee raahat ko
ye her lamha jo sehtay hain zameen per qatlo gharat ko
mehangaee ko ye toofaan jo aaya he dunya hain
jo apni zindagee se tang hain insaan dunyaa main
khudaa ko kar dya naraaz kyu jis kee hukoomat he
ye sub ham per buray amaal hee kee to nahoosat he
jo dooree rab se ho jae jahannum phir thikaana he
khudaa kee ho raza to dono aalam ka khazana he
magar rab kee muhabbat me bhee apni shaan yakta he
wo bakhshish k leai bando ke har dam raah takta he
bohat saray bahano se muaafee aam deta he
wo taaeb honay walo ko lapak ker thaam leta he
aray tum ko mubarak ho k ramzaan paa liya tum ne
yahee he kher ka mambaa jisay phir jaa liya tum ne
maheena he ye wo jis  main shayaateen qaid hotay hain
wo bando k palat janay se apna chain khotay hain
hua quran bhee naazil isee maahay muqaddas main
hidaayat aam he rab kee inhee aayaat e aqdas main
milee thee fath e makka bhee musalmano ko ramzaa main
Jisay fathay mubeen kehta he khud battaaan quran main
he qeemat farz k jaisee nafal kee is maheenay main
ataaen hain wafaen hain mere rab k khazanay main
adaa ik farz karne per ajar sattar 70 ka milta he
amal ka beej lagtay hee ajar ka phool khilta he
farishto ka jahannum per bhii pehra sakht hota he
jisay phir maut aae wo bohut khush bakht hota he
inhee ayyaaam me her roz jannat ko sajatay hain
humaree muntzir hooroon ko nehkaa kar bithatay hain
kushaada rizq ho jata he is maah e muazzam main
zameen per barkatain aatee hain is mahay mukarram main
saha se shaam tak banday jo apni bhook sehtay hain
ye apni in wafao se khuda ko jeet letay hain
jo piyaasay halq bhookay pait rab kee yaad aatee he
adaa qurbaneyo kee kis qadar ye rab ko bhaatee he
ye roza rakhna banda ko bohut mehboob he rab ko
k un ke moon kee badboo mushk se marghoob he rab ko
he ek hathyar ye roza gunaaho se hifazat ka
zareeya ye bhee he ek nafs ke sharr se baghaawat ka
chalo ab aagaya mausam ye naikee kee bahaaroan ka
milay ga ek naikee per tumhain badla paharoan ka
munadee aasmaan ka roz ek elaan karta he
sawalee koi he to aae rab faizaan karta he
agar tum maghfirat chaho to bhar lo aa k jholee main
jo chahay mang le her ek insaan apni bolee main
ye pehla ashra he ramzan ka rehmat barasnay ka
sabhee mehroomeyaan zaael, gaya ab din tarasnay ka
maafee mang lain her ek apne sab gunaho se
jo mujrim toba kr le wo nahee girta nigaahoan se
he is ka doosra ashraa khuda ke maghfirat wala
bohut hee khoob rab ka faisla he maslihat wala
umoomee maghfirat se khoob sab ka dil lubhaatay hain
jahannum se khalasee roz he dus lakh patay hain
malak aameen kehtay hain hamaree sub duaaon per
tarana maghfirat ka he parindo kee zubaano per
jahannum se baraa at ka he phir wo aakhree ashra
bujha de gaa jahannum ko faqat aansoo ka ek qatra
isee maahay muqaddas me suno ek raat he aise
nahee paee kise ummat ne phle raat is jaisee
he 80 saal kee khalis ibadat se ye shab afzal
jo naaqadray hain is shab ke hain apni aqal se paidal
isee shab kee ibadat per kiya waada he janaat ka
wohee to ghar he momin ka wohee maskan he lazzat ka
farishtay bhee utartay aasman se hain qataaroan main
chamak is raat barrh jatee he nooranee sitaroan main
shabay aakhir be laatee he ye phir ramzaan kee tuhfaa
khuda deta he is main darguzar ka qeemtee hadyaa
samandar maghfirat ka rab jo poora maah bahaata he
baraabar us k majmooai k aakhir shab barhata he
ye ek moqa jo aaya he muaafee mang lenay ka
yahee he waqt nafarmaneeyo pe khoob ronay ka
sureelay dhang se ramzaan me quran ko parhna
dua me khoob apnay rab se tum sargosheeya karna
taraweeh me kharay ho kr khatam quran ka karna
isi ko parh k janaat k sabhee darjo pe tum charhna
tumhara nafs behka kar tumhain maghroor na kr de
kaheen iblees ka sathee tumhain majboor na kr de
zarooree he hifaazat apnay sab aamaal kee karna
namazin parhna rozay rakhna paak eeman kee karna
guzaro zindagee puree ye aaqa kee itaa at main
jaga phir tum bhee paa lo ge Muhammad(SAW) ke shafaa at me
bachana apna roza tum zamaan ke sharr o aafat se
kisi se baat jo kar lo to narmee se sharafat se
lajaajat khoob kar lo apnay rab se is maheenay main
safar ho zindagee ka puura islamee safeenay main
muhaafiz tum hamesha gar rahay apnee namazo ke
munaazir khud he dekh lo ge barkat k ataaon ke
agar tum seekh na pae hukam ko maan kar chlna
to phir yoonhee masaaib ke dehaktee aag main jalna
rahain ge aise hee halaat dunya me tabahee ke
ghareeb hotay rahain ge din ba din insaan kharaabee ke
ilahee naam shamil kar hamara khush naseebo main
hamara naam bhee likh de tu janaat ke makeeno main
hamain azaad kr de tu jahannum ke haraarat se
bacha le hum ko bee tu nafs o shaitaan ke sharaarat se
tu de day martaba apne yaha maqbool bandoan ka
ujalaay se badal andher tu benoor qabroan ka
agar tu chaah le ya rab sudhar haalaat jaen ge
ye bad amnee khatam ho hgee ye banday chain paaen ge
karoroan rehmatain nazil ilaahe mustafa per kar
salamoan kee bhee barish tu muhammad mujtaba per kar
jaga de tu ilahee is mubarak maah se ghaafil ko
ataa kar maghfirat puuree anas ko or raahil ko

Sall ALLAHO Alaehay Jalla Jalalahoo



No comments:

Post a Comment