Wednesday, April 30, 2014

Aaqa Tere Aanay Se


Anas Younus - "Aaqa Teray Aanay Say" - Naat 2 by Darsequran.com Official


aaqa teray anay se rang badla zamanay ka
aaqa teray anay se rang badla zamany ka

haibat se gira teree har but but khanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqa tere.........................................

taptee huee raitoon per parhay kalma bilal tera
andaaz nirala he teray her parwanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aqaa.................................................

jis jis ko pilaee he meray aaqa ne haatho se!!
wo bhool gaya rasta har ik maikhanay kaa

aqaa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqaa.......................................................


shah kaar he qudrat ka tera husn meray aaqa!
husn e yousaf he sadqa Aaqa tere khazanay ka

aaqa tere anay se rang badla zamany ka
aaqa..............................................

tu choom le talyoan ko kaafooree hontoan se
khud rab ne sikhaya he andaz jaganay ka!!

aaqa tere anay se rang badla zamanay ka
aaqaa..........................................

mehboob na gham karna sar-e-hashr tu ummat ka
mehshar to Bahaana he tere shaan dikhaanay ka!!

aaqaa tere aanay se rang badla zamanay ka
aaqa..........................................................

jis ko bhi mila tukrra hasnain ke naana se
mangta wo bana Saael sultan zamanay ka!!

Aaqa tere aanay se rang badla zamany ka
aaqa................................................






No comments:

Post a Comment