mjhe aeena jo bana dia
jo chupa tha mujh me dikha dia
na bujha na koi bujha saka
jo charagh tu ne jala dia
pathar ko heera kar de
mere peer kee nigaah
na janay kia bana de mere peer kee nigaah
mera peer baadshah he, mera peer shehanshah he
mera peer, mera peer ……….
mujh ko mitanay walay to bas sochtay rahaay
aisa nawaza peer ne sab dekhtay rahay
kia khauf mjh ko qabr me munkir nakeer ka
he sar pe meray meray dast e karam mere peer ka
peer k rang me jo rang jae ooja rang na bhae
sachay peer kee nisbat wala dhoka kabee na khae
heeray motee laal jawahar dolat shohrat kia he
peer ishara kar de to sab qadmoan me aajae
hum naqshbande nisbat walay murshid k gun gatay hain
murshid hamaray an daata hain un ka sadqa khatay hain
kisi raja kee chaltee he na mahraja kee chaltee
Khuda ke is zameen pe bas mere khawja/murshid kee chaltee
aisa faqeer jan e karam koi nahee he
teree tarah khuda kee qasam koi nahee he
me ne khangaal daala samandar hayaat ka
mere sanam k jesa sanam koi nahee he
pehchantya hain log isee dar k naam se
dushman salaam karnay lagay ehtiraam se
aaeena ban gaya hu me tasweer k leai
qurban he mere jaan mere peer k leai
jab se hua huu peer ka, nemat milee mujhe
nazro niaz zikr kee dolat milee mjhe
murshid ka taaj pehan k nikla jo shaan se
her aastanay per baree izzat milee mujhe
nas nas me ishq e shwikh kee mastee utar gae
mere peer e kaamil ke nazar kaam kar gaee
kohat ke shehnsha ka ye faiz dekheai
murshid ka daman thama to qismat sanwar gaee
poora her qaul kar dia tu ne
mera kashkol bhar dia tu ne
jis kee qeemat laga sakay na koi
aisa anmol kar dia tu ne
Hazrat ke nazar ne karam aisa kar dia
daman hamara mawrifat e haq se bhar dia
chappal utha k hazrat e murshid k shab o roz
khanqah ka her khadim ne sulook tay kar dia
jo aeenay ko bee herat me daal deta he
kisi kisi ko khuda ye jamaal deta he
Sakhee k dar pe talab kee kaha zaroorat he
talab se pehlay wo jholee me daal deta he
rehmat bee jhoom jhoom k darwazaa khol uthee
khanqah behzad abaad kee chowkhat be bol uthee
raja or rand o qutab or qalandar nachay
me to qatra hu teray dar pe samndar nachay
kia bigarain gee mera mauj e bala ae shahid
saya ban kar k dua peer kee sar per naachay
tujhe kia bataoo saqee mjhe kesi be khudee he
jo teree nazar se chalkeee wo sharab me ne pee he
na alam mera alam he, na khushee mere khushee he
me usee me khush hu jis me mere peer ke khushee he
No comments:
Post a Comment