dar e nabi per parra rahoo ga
paray hee rehnay se kaam hoga
kabee to qismat khulay gee meree
kabee to mera salaam hoga
khilaf e mashooq kuch huaa
na koi aashiq se kaam hoga
khuda be hoga udher hee ae dil
jidher wo aalee maqaam hogaa
keai hee jaoon ga arz e matlab
milay jab tak na dil ka matlab
na shaam e matlab ke subah ho gee
na ye fasaana tamaam hoga
jo dil se he maael e payambar
ye us kee pehchan he muqaddar
k her dam us be nawa ka lab per
durood hogaa salaam hoga
isee tawaqa pe jee raha hu
yahee tamanna jilaa rahee he
nigah e lutf o karam na hogee
to mujh ko jeena haraam hoga
No comments:
Post a Comment