mustafa aap ke jesa koi aaya hee nahee
aata bhee kesay jab allah ne banaya hee nahee
koi sanee na rab ka na mere aaqa ka
aik ka jism nahee aik ka saaya hee nahee
zulf wallael hain rukh waddhuha mah zaagh aankhain
is tarah rab ne kisi ko bhee sajaya hee nahee
aap ne jab se nawaza he ae rasool Allah
me ne daaman kisi chowkhat pe bichaya he nahee
jis ne sarkar ke chehray kee ziyarat kee he
us kenazroan me koi aur samaya hee nahee
lot kar aagaya makkay se madeenay na gaya
kese jaata tujhe aaqa ne bulaya hee nahee
jab se darwaze pe likha me ne aala hazrat
koi gustakh nabee ghar mere aaya hee nahee
jab talak pusht pe shabeer rahay ae faizee
sar ko sajday se payambar ne uthaya hee nahee
No comments:
Post a Comment