falak k nazaroan zameen kee baharoan
sab eidain mana huzoor age hain
utho gham k maro chalo besharo
khabar ye sunao huzoor agae hain
anokha nirala wo zeeshan ayaa
wo Sarah rasooloan ka sultan aya
aray kaj gunahoan aray badshahoan
nigahain jhukao huzoor aa age hain
huzoor agae hain (4)
hua chaar soo rehmatoan ka basera
ujaala ujala sewera sewera
haleema ko pohanchee khabar amna key
mere ghar me ao huzoor agae hain
huzoor age hain (4)
hawaon me jazbaat hain marhaba ke
fazaon me naghmaat sallay alaa ke
daroodoan k gajray salamoan k tohfay
ghulamoan sajao huzoor agae hain
huzoor agae hain (4)
sama he sana e habeebay khuda ka
ye meelad he sarwar e anbeeya ka
nabee ke gadao sab ek doosray ko
galay se lagao huzoor agae hain
huzoor agae hain (4)
kaha me zahooree kahan un kee batain
karam karam hee karam he ye din or ratain
jahan pe bhee jao diloan ko jagao
yehe kehtay jao huzoor agae hain
huzoor agae hain (4)
No comments:
Post a Comment